Dimagi Kamzori Ka Ilaj In Hindi Memory Tez Karne Ke Tips Hafiza Kaise Mazboot Ho In Urdu

Hafza Tez Karne Ki Tips Yadasht Badhane Ke Upay

Memory Badhane Ke Gharelu Totkay Desi Tips for Dimaghi Kamzori

Dimag Ki Kamjori Ke Lakshan


Students kay liye dimagi kamzori bohat bara masla hota hai jab wo parhty hain to unhy wo sab kuch bhool jata hai jo unhon ne yaad kiya hota hai kuch yaad nahi rehta aisy students sari sari raat parhty rehty hain aur unki neend bhi urr jati hai. Dimgh kamzor ho jaye to parhai bhi sahi nahi hoti dimaghi kamzori ko khatam karne kay liye main aap ko totka batane ja rahi hoon is totkay par amal karen aur koshish kiya karen agar koi achi cheez ki malomat mil jaye to isay apne tak mehdood na rakhen balkay logon sey bhi share karen.

Dimaghi Brain Tonic Dimagi Kamzori Ka Ilaj


Dimaghi kamzori ki shikayat walay log dopehar ko 10 badam pani mein bhigo dain aur raat ko badam kay chilkay utar kar bareek pees lain. Adha kilo doodh mein badam daal kar 3 bar josh dain. Phir isay utar kar cheeni ya shehad mila lain aur neem garam doodh pee lain. Ab aap ko neend bhi achi tarha aayegi aur subah ko jab aap uthen ge to jism halka phulka mehsoos hoga. Fajar ki namaz masjid mein ba jamat parhny ki adat bana lain aur namaz parhne kay baad Quran pak ki tilawat karen is sey apka zehn khule ga aur dimagh ko taqat milegi. Usky baad 10 ya 15 minute subah ki sair karen. Ghar aa kar apna sabaq dohrain. Subah subah parhne ka faida ye hoga kay aap ko sabaq yaad ho jayega. Subah kay waqt 2 akhrot tor kar khayen akhrot ki banwat dimagh jesi hoti hai ye bhi dimagh ko taqat bakhshta hai. Sonf, badam, misri hum wazan pees kar rakh lain aur din mein 1 ya 2 bar chammach bhar kar khanay sey bhi faraq par jata hai.

Comments