Mouth Blisters Cure Mun K Chalay Ka Ilaj In Urdu Mun Kay Chalay Ka Totka In Hindi

Muh Ke Chalo Ki Ayurvedic Dawa Muh Ke Chalo Ki Dawa


Mouth Blisters Home Remedies In Hindi
Mun Kay Chalay Theek Kaise Honge? Mouth Blisters Treament Home Remedies



Jab aap kisi masalay daar cheez ko mun mein dalein aur maloom ho kay munh mein to koi zakham ho chuka hai jiski wajah se wo niwala bohat takleef deh sabit hota hai. Ya phir danton par brush karte hue kisi zakham par brush takra jae to bhi takleef hoti hai. Agar mun mein chote safed nishan gulabi satah par ubhar aya hai to ye mun mein chalay ya zakhan ki nishani hai. Ye chalay chote aur tang zakham hote hain jo mun mein naram tissues mein bante hain jo gaal, mosorhon aur zuban kisi bhi jagah par ho sakte hain. New York university ke mutabiq ye zakham kisi kay mun mein bhi ho sakte hain aur bohat ziada takleef deh sabit hote hain khas taur par jab koi mirch masalay ya tezabi cheez ko khaya jaye balky aksar pani peena bhi aziyat banta hai.


Abi ye to wazeh nahi hai kay in chaalon ke ubharne ki asal wajah kya hai lekin kuch cheezon baray mein khayal hai kay wo iski wajah bante hain. Mayo Clinic ke mutabiq taqat se brush karna yani zoor zoor se brush karna, masalay daar cheez ya tezabi ghizayen hormones mein tabdeeliyan aur tanau waghera in chaalon ka sabab bante hain. Experts ka khayal hai kay ye chaaly immune activities ka nateeja hote hain aur ye aisa waqt hota hai jab jism kisi virus ke khilaf larte hue khud ko he nishana bana leta hai.


Aaam taur par ye chalay sehat bakhsh ghiza ke istemal sey aik hafte kay andar theek ho jate hain jab kay masalay daar, tezabi aur chips etc. se doori ikhtiyar karni hoti hai. Isky ilawa daanton par brush ehtiyat se karna parta hai agar ye chaaly aik hafte sey ziyada rahen khoon nikalne lage ya waqt ke sath baray hone lage to doctor se raju karna zarori hai. Wo isliye kahin ye kisi sangeen maslay jesy mun ka cancer to nahi chand gharelu totkay istemal karke chalay ya zakham ko kam ya khatam karne mein kafi had tak madad mil sakti hai. Baking soda acline hota hai jo is tezabi kefiyat ko mamool par lata hai jo mun ke chalon ka bais bante hain jab kay bacteria ko khatam karke in chalon ay fori ilaj mein madad deta hai.

Mouth Blister Treatment In Hindi Mouth Blisters Treatment In Urdu


Aik chaye ka chamach baking soda adha cup garam pani mein milayen aur iss sey kuliyan kar lain. Aik istemal shuda teabag ko 5 minute tak chalay ya zakham par lagaye rakhen to relief mehsoos hoga. Chaye mein aik alkaline hai jo chaalon ya zakham ki takleef barhane walay tezab ko mamool par lati hai jab kay iss mein aisay ajza bhi shamil hain jo takleef mein kami lane mein madadgar sabit ho sakte hain. Hydrogen peroxide aik taqatwar jaraseem kash mehlool hota hai aur ye mun kay chalon ya zakham ko infection sey bachata hai. Iss mehlood ko mouthwash ki tarah istemal karen tahum isay nigalne ki koshish na karen.




Namak mila pani ya sodium chloride pani mein mil kar tissues ke gird ja kar zakhmon ke theek hone ka amal tez kar deta hai. Vitamin E kay aik capsule ko kaat lain aur iskay mehlool ko mutasira hissay par laga dain. Ye tail chalay par aik coating bana dega jo isay infection sey tahafuz degi aur jald thek hone mein bhi madadgar sabit hogi. Aloevera gel bhi mun ke chalon ya zakhmon ko theek karne ka amal tez kar deta hai. Jab kay dard mein bhi kami lata hai. Aik saaf chamach ke zariye iss gel ki kuch miqdar barah e rast mutasira hissay par lagae aur zarorat parne par iss amal ko dohrain. 

Magnesia kay doodh ki mamooli miqdar mun mein bhare aur mun saaf karne ke liye istemal karen is bat ko yaqeeni banaye ke ye mutasira hissay ko bhi saaf kare. Magnesia ke doodh mein majood ajza mun ki tezabiyat par qabu pate hain jo chaalon ko takleef deh banate hain isky ilawa aap roi ko iss doodh mein bhigo kar barahe rast mein chaalon par din mein 3 se 4 dafa laga sakte hain. Meri post ko apne friends ke sath share zaror karen ye apke liye sadqa e jariya ban jayegi InshaaAllah.

Comments