Delivery Ke Baad Kya Khana Chahiye In Hindi Aurat Ki Jismani Kamzori In Urdu Pregnancy Ke Baad Care In Hindi

Abdominal Weakness After Pregnancy Pregnancy Ke Baad Kya Khaye


Bache Ki Pedaish Ke Baad Maa Ki Sehat Ke Liye Tips

Mother Care After Baby Delivery


Fasialabad sey humera kehti hain mera qad 5 feet 4 inch hai aur weight 80 kg hai merey 2 bachy hain dusra bacha 3 mahine pehle normal delivery sey paida hua hai. Bachy ki paidaish sey aaj tak meri tabiyat kharab rehny lagi hai main jismani lehaz sey khud ko pehle ki tarah mehsoos nahi kar pa rahi ab mujhe jismani taur par be had kamzori mehsoos hoti hai. Jab so kar uthti hoon to dil ghabrata hai sir chakrata hai aur jism bilkul bejan sa ho kar thanda ho jata hai. Kabhi bhook bohat lagti hai to kabhi bilkul khane peny ko jee nahi karta kabhi qabz ho jati hai to kabhi bar bar motion anay lagte hain. Mery maday mein gas aur tezabiyat bhi rehti hai meharbani farma kar mujhe koi munasib dawa, ghiza aur perhaiz tajveez kar dain.


Khawateen doran e zichagi parhez nahi kartin thanday garam nahany dhone aur khany peny mein bilkul bhi apni halat ka khayal nahi rakhtin jiski wajah sey aaj taqreban har dusri aurat zachgi kay baad latadad badni masail mein mubtala ho rahi hain. Puranay waqton mein puray 41 din zacha apni khurak, libaas, mamalat aur nahany dhone kay hawaley sey mohtat raha kartin thin. Humari aisi bari borhiyan aaj bhi 8, 10 bachon ki parwarish kay baad kafi had tak chaquchoband dekhi ja sakti hain. Halanky inhen na to multi vitamins muyassar hote thy aur na he maujooda door ki jadeed khurak lekin iski barakas maujooda daur mein har tarah ki madadgar adviyat kay shuru din sey istemal kay bawajood aaj ki maa darjanon badni masail mein girftar hain.


Mother Care After Delivery In Urdu Bache Ki Paidaish Ke Baad Jismani Kamzori



Mohtarma sab sey pehly to aap apne wajood mein paye jane walay jakrao ko khatam karne ki koshish karen. Iss silsilay mein pure badan par achi tarah magic oil ki malish karen aur hasb e zarorat pani mein beri kay pattay paka kar bhaap lain. Bhaap liye adha ghanta guzarne par isi pani sey naha lain aur garam kapra urh kar taqreban aik ghanta lait jayen. Takay pura badan warm up ho jaye. Isi doran doodh mein aik garam darcheeni paka kar aik chamachi shehad mila kar bhi pee lain to aur bhi behtar hoga. Bhook barhany aur metabolism ki karkardagi drust karne kay liye magic safoof meda din mein 3 bar 1/4 chamach istemal karen. Metabolism ki drust karkardagi par bhook bhi khoob lage gi jis k baad khayi jane wali khurak juzv badan bane gi to dil ghabrana, sir chakrana aur dusri jismani masail sey nijat mil jayegi.

Comments

  1. DNC k bad sawa mahina huta he? Or khurak kia leni chaiye

    ReplyDelete
    Replies
    1. D&C Dilation and Curettage miscarriage ye aap ki pregnancy par depend karta hai k aap kitni dair tak pregnant rahi aur D&C k baad aap ko fresh vegetables khani chahiye aur bakery products bohat kam istemal karni chahiye balky sirf vegtables aur fruits istemal karen to behtar hai mazeed list neeche de raha hun parh lijiye

      Foods to Eat after Baby Miscarriage/D&C Procedure

      Beans
      Green leafy vegetables
      Brussels Sprouts
      Raisins
      Lentils
      Dried Peaches
      Pumpkin Seeds
      Soybeans
      Sesame butter (Tahini)
      Brown Rice
      Dark Chocolate
      Molasses

      Foods to avoid after Baby Miscarriage/D&C Procedure

      Lamb
      Beef
      Butter
      Cheese
      Whole milk

      apke comment karne ka shukriya. keep visit our blog for more health & beauty tips

      Delete

Post a Comment