Fiber Food Benefits In Hindi
Fiber Rich Foods Chart |
Fiber Wali Ghizayen Konsi Hoti Hain?
Fiber ko Urdu zuban mein Resha kehte hain purane waqton mein borhi auratain kabhi aatay ko chaan bhi leti thi to isay sambhal kar istemal kiya jata tha. Bhoosi ki aik apni khaas ahmiyat hai iss sey chaan ki chai banai jati hai har tarah ke phal aur sabziyon mein fiber paya jata hai. Hamare haan iss mausam mein mutter milte hain mutter ke danon mein bhi qudrat ne sehat ke liye mufeed ajza shamil rakhy hain. Log matar kay faide ko nahi jante dalon ki tarah mutter bhi dukanon par dastiyab hona chahiye aur logon ko isay pees kar bhi chezain bana kar khana chahiye.
Pehle gehu aur ju ka dliya milta tha ab bhi bazar mein tarah tarah kay daliye mil jate hain aatay ki bhosi ke packet chakki se mil jate hain fiber wali ghizayen bhi aam taur par mil jati hain. Isky banay hue biscuit, double roti, ras mil jate hain aap kachi sabzi aur saib chaba chaba kar kha sakte hain. Isi tarah sabziyan pakaty waqt khas khayal rakhna chahiye wo saaf aur taza honi chahiye bhaap mein pakai jayen to sab sey behtar hai warna inko halki aanch par pakaya jaye zyada bhonne sey sabzi ki sari afadiyat khatam ho jati hai.
Comments
Post a Comment