Nutritional Benefits Of Breast Milk For Toddlers Maa Ka Doodh In Islam

Bachon Kay Liye Maa Ka Doodh Bachon Ke Liye Maa Ka Doodh Sehat Ka Zamin


Breastfeeding Benefits for New Born Babies

Science ka daur hai doodh kay dabby mein aisi chezen shamil ki jati hain jo bachy ki nashonuma mein help karti hain phir aaj kay daur mein itna waqt kahan hai kay bachy ko doodh pilaya jaye? Phir kya wajah hai kay puri dunya kay doctors aur health experts maa kay doodh ko bachay kay liye bohat faida mand qarar dety hain wo isliye kyun ki pehli baat to ye hai kay khawateen ki sehat barqarar rehti hai aur unhe zehni taur par sakoon milta hai aur bachy ko bhi maa ki chati sey doodh pee kar pyar aur tahaffuz milta hai. Jo mothers apne babies ko doodh pilati hain inko breast cancer ka khatra bhi kam ho jata hai. Jo bachy maa ka doodh peety hain wo bimari ke hamly sey bhi bachy rehte hain.
Aur bachy apni aane wali zindagi mein bhi dil ke amraz sey mehfooz rehty hain. Maa kay doodh mein paya jane wala cholesterol jism ko tahafuz aur sehat deta hai.

Mother Milk For How Many Months


Oily food kay side effects sey bachne mein help karta hai. Aaj kal tezi kay sath breast cancer phail raha hai aur ye khawateen ko mutasir kar raha hai. Agar aap breast cancer jaise jaan lewa marz sey bachna chahti hain to phir apne bachon ko apna doodh pilayaen ye aap ke liye bhi faida mand hai aur apke bachon ki sehat ke liye bhi mufeed hai. Breast cancer sey bachne ke liye bachy ko apna doodh pilana zaroori hai jo khawateen shaadi nahin karti inko bhi breast cancer ke marz ka khatra lahaq rehta hai. Aur Quran e Paak mein bhi bachy ko 2 saal tak doodh pilane ka hukam hai to phir ye kesy ho sakta hai jis cheez ka hukam Allah Azawajal apne bandon ko khud de raha ho wo humare liye faida mand na ho? Bachy ko doodh pilane ka hukam Quran e Majeed ki surah Luqman Ayat No.14 mein irshad e Bari Ta'ala hai.

Bache Ka Doodh Churana Nomolood Bacha Ko Kab Tak Doodh Pilana Chahiye?


اور ہم نے انسان کو جسے اس کی ماں تکلیف پر تکلیف سہہ کر پیٹ میں اٹھائے رکھتی ہے (پھر اس کو دودھ پلاتی ہے) اور دو برس میں اس کا دودھ چھڑانا ہوتا ہے۔

Comments