Sunghne Ki Shakti Khatam Hona Anosmia Home Treatment In Hindi Sunghne Ki Bimari Hyposmia Cure Inability To Smell

Sunghne Ki Hiss Khatam Ho Gayi Hai Inability to Smell


smell na aane ke karan
Smell Na Aana Sunghne Ki Hiss Ka Khatam Ho Jana

Sunghne Ki English Meaning Smell Meaning In Urdu



Sunghne ko English mein "Smell" kehte hain aur Smell ko Urdu mein "Sunghna" kehte hain.

Anosmia Meaning in Urdu

Ansomia aik aisi bimari hai jis mein insan kisi bhi cheez ko sungh nahi sakta usay kisi bhi cheez ki khuhsbu ya badbu mehsoos nahi hoti jisy English mein "Anosmia" kehte hain.
Neelofar kehti hain umar 30 saal pichle dino bohat nazla zukam aur bukhar raha iske baad aisa lagta hai k meri songhne ki hiss khatam ho gai hai. Kitchen mein handiya jal jaye mujhe pata he nahi chalta na khushbu aati hai na badbu mujhe kya karna chahiye?



Smell Na Aane Ke Karan Naak Se Smell Na Aana

Aap kisi ache doctor ko dikha kar mashwara karen naak kaan ya galay k doctor ko aap bata sakti hain. Baaz dafa nazla rehne se bhi naak k gadood phool jate hain aur songhne ki hiss mutasir hoti hai. Aap neem k pattay mangaye muthi bhar pattay 2.50 glass pani mein paka kar chaan kar rakhiye. Aik glass le kar pani halka sa garam kariye. Is mein sirf 1 chutki namak ki mila kar naak mein aisy pani daliye jesy banda wuzu karte hue naak mein pani dalta hai ye amal subah k waqt bhi karen aur shaam ko bhi 3 hafta tak karke chor dijiye.
1 chamach bhar kalonji le kar saaf kar lain 9 se 10 chamach zaitoon ka tail naap kar kisi chamcha mein le kar garam karen is mein kalonji daal dain. Aanch ahista rakhen kalonji k dany 2 se 3 minute mein jal jayenge phir unhen utar kar thanda karke chaan kar rakhiye. Raat ko sote waqt 2 se 3 qatry naak k dono nathnon mein daliye kalonji mein shifa hai aur kalonji ka tail faida mand hai. Is se koi nuksan nahi hoga balky faida hoga aur agar aap ko faida hota hai to hamen comment karke zaror bataye takay hamare parhne wale bhi aap se mustafeed ho saken. Meri post ko apne doston ke sath share karen aur apne liye sadqa e jariya banayain.

Comments