Makeup Karne Ka Sahi Tarika Step By Step Concealer Lagane Ka Sahi Tarika Makeup Powder Lagane Ka Tarika

Face Powder Lagane Ka Sahi Tarika Chehre Par Makeup Kaise Lagate Hain


Foundation Lagane Ka Asan Tarika How To Apply Concealer In Urdu 

Concealer Aur Powder Make Up K Hathyar How To Apply Concealer And Foundation On Dark Skin


Aksar larkiyan makeup to kisi na kisi tarah kar leti hain lekin concealer lagane k fun se agah nahi hoti aayen aaj hum aap ko concealer lagane ka tarika batate hain. Daaghon ko chupane k liye bareek brush ki madad se concealer ka rang, foundation ka hum rang hota hai tahum agar rang bilkul match na ho sake to concealer aik shade halka le sakti hain kyon ki agar aap ne foundation se gehra concealer shade istemal kiya to ye chehre ke nishanat ko mazeed numayan kar dega.

Under Eye Bags And Dark Circles Causes

Aankh k neechy ki jagah dheeli ko ho kar latak jaye to iski kefiyat ko "Under Eyes Bags" kaha jata hai aisa raat dair tak jagne aur kam roshni mein parhne k sabab ho sakta hai. In eye bags ko conceal karna khasa mushkil kaam hota hai.


Aankhon Ki Sujan Door Karne Ka Tarika Under Eye Bags Home Remedies


bridal makeup karne ka tarika step by step
Chehre Ka Makeup Kaise Karna Chahiye

Istemal shuda tea bags ko thanda karke aankhon par rakhne se aankhon ki sujan mein hairat angez had tak afaqa hota hai. Chand aik aisi tarkeebein bhi maujood hain jin ki madad se eyes bags ko kafi had tak chupaya ja sakta hai. Cre Liquid concealer ko aankhon k neechy lagaye kyon ki ye cream is hissay ki nazuk jild mein bohat achi tarah jazb ho jati hai.
Cream ko nuqton ki surat mein aankhon k neeche aur naak k goshon par lagayen aur ungli ki madad se halke se thapthapa kar isay jazb kar lain. Isay aap bhanwon k neche wali haddi par bator e high lighter bhi laga sakti hain aur naak ya dahany k ird gird waqia shikno ko chupane k liye bhi istemal kar sakti hain.

How To Apply Primer Foundation And Concealer In Hindi


iss se na sirf aap ki rangat damak uthegi balky aap aik dam tar o taza dikhai dengi. Concelar aap k liye waqai aik jadui product sabit ho sakti hai. Agar aap isay lagane k sunehri asool yaad rakhen. Hard concelar ko agar aankhon k goshon par numayan jhuriyan chupane k liye istemal kiya jaye to ye mazeed wazeh nazar aane lage gi. Jab k koi creamy aur patli product jhaiyon aur dhabon ko chupane ki bajaye phisal k neeche beh jayegi. Isliye aap k durust intekhab mein he asal khoobsurti chupi hai.


Powder: How To Use Concealer With Powder Foundation


Ziyada tar khawateen ka makeup powder k baghair mukamal nahi hota isliye market mein kayi iqsam k powder dastiyab hain. Yaad rakhen k powder ka rang muntakhib karte hue bhi apni rangat se iski mutabiqat ka khayal rakhen. Loose powder aap k chehre par lagaye gaye foundation base ko set karne ka kaam deta hai. Lekin ye aap k chehre par alag se laga hua nahi dikhna chahiye balke iska sahih result tab milta hai jab ye mukamal taur par aap ke makeup ka hisa dikhayi de. Isay lagane k baad color cosmetics brush rawani k sath aap k chehre par chalta hai aur koi line ya dhaba waghera nahi banta. Eye shadow lagane se pehle aankhon k neeche loose powder lagayen ye eye shadow se jhar kar girne waly zarrat ko maqnatees ki tarah pakar lega.
Phir aik naram brush ki madad se aap is powder ko saaf kar sakti hain. Is say aapke chehre par koi nishan nahin banne payega. Powder lagane ki technique ka pehla asol ye hai k aap ka powder brush acha hona chahiye. Ye jitna acha hoga utni he behtar finishing ayegi. Apne brush ko is jadui product mein dabone k bad izafi powder ko jhatak dain phir chehre par halke hath se lagayen ye aap k chehre ka istarah hissa ban jayega jesy aap ne kuch lagaya he na ho agar aap ko make up ye tips aur tricks pasand ayi hain to isay WhatsApp aur Facebook par apne friends k sath lazmi share karen.

Comments