Face Ke Baal Khatam Karna In Hindi Chehre Ke Faltu Baal Khatam Karna In Urdu

Face Care Chehre Ke Baal Hatane Ke Gharelu Upchar


Remove Unwanted Facial Hair Naturally At Home

Chehre Ke Baal Hatane Ka Gharelu Nuskha



Meny ek bachi dekhi jo 12 saal ki thi isky chehre par halky halky baal hain wo bleach cream nahi lagana chahti thi isi tarha ek bhai kay haan bhi bachi paida hui hai isky chehry aur hathon par bhi rouwan hai jisy wo door karna chahte hain. Ghair zaroori baalon ka masla boht sari khawateen ka hai chehry ke faltu baal khatam karne kay liye aik chamcha maida kisi piyale mein dalein thora thora arq e gulab mila kar garha paste bana lain. Jahan jahan ye baal nazar aate hain wahan laga dalin sookh jaye to hath sey mal kar utar dain aur mun dho kar sukha lain aur phir arq e gulab lagain 3 ya 4 hafty tak ye totka istemal karen aap ky chehry kay baal ahista ahista kamzoor ho kar khatam ho jayenge. Nomolood new born baby kay mathay par rowan hota hai kyun ki jab bacha bara bara hota hai to ye rowan khud ba khud khatam ho jata hai.

Newborn Baby Hair On Forehead




Lekin agar aap phir bhi baby kay baalon ko saaf karna chahte hain to aap ihteyat kay sath ye totka istemal kar sakti hain thora sa gehun lain iss mein thora sa ghee milain aur chutki bhar namak issay pani sey gondh kar bilkul sakht pera bana lain. Puri ki tarha chota pera hona chahiye iss mein sey adha le kar ahista ahista bachy kay royen par pherain 2 ya 3 minute phair kar hata dain din mein 2 bar aisa karen ahista ahista rowan kam ho jayega. Bacha 1 hafty ka ho to aap isay laga sakte hain aur yaad rahe zyada der tak aur sakht hath sey nahi malna chahiye kyun ki baby ki skin soft hoti hai sirf mathay aur bazo par laga sakty hain pure chehre par nahi laga sakte 4 ya 5 din laga kar phir chor djiye rowan khatam ho jayega.

Comments