Asli Honey Ki Pehchan Asli Shehad Ki Kya Pahchan Hai Asli Shehad Ki Nishani

Original Honey Test In Urdu Pure Honey Identification In Urdu


what-is-pure-shahad-asli-honey-ki-pehchan-in-hindi
Pure Honey Identification In Hindi/Urdu

Tips To Check Pure Honey Asli Shehad Ki Pehchan Ke Tarike



Aaj kal market aur bazaron mein jaali aur 2 number shehad ki farokht (selling) bohat ziyada ho chuki hai. Jiski wajah ye hai k awaam (public) ko asli aur naqli shehad ki pehchan hi nahi hoti, aur woh apna paisa barbaad kar letay hain. Aaj hum aapko asli shehad ki pehchaan ke chund tariqay bata detay hain.
* Sabse pehlay shehad ki bottle par lagay huwe label ko check karein, Jis par ajza e tarkeebi (ingredients) likhe huwe hoon. Shehad bananay wali company par Imandari (honestly) ke saath ajza e tarkeebi likhna qanuni aur ikhlaaqi tor par lazim hai.

* In ajza(ingredients) mein agar Additives yaani aisay maaday jo tail mein isliye melaye jaate hain,k is mein koi Ghair mamooli khasosiyat paida ho jaye, agar aisa na ho to befikar ho kar ye shehad khareed (buy) lein.




* Aik glass pani mein shehad se bharaa chamach daal dein. Agar shehad khaalis hai to paani mein hal nahi hoga.Aur agar khaalis nahi to paani mein hal ho jaye ga. Kyon k market mein milne waale
aksar shehad gurr se banaye jaatay hain.
* Iss tariqay mein shehad ki jaanch ke liye aap ko 1 liter aur mombati chaahiye. Mombatti mein mojood cotton ki batti ko shehad mein bhigo kar aik baar jhatak dein.Aur phir liter ke zariye isay aag laganay ki koshish karein. Agar is batti mein aag lag gayi to samajh lein k shehad khaalis hai.

* Shehad ke chand qatray jazb karnay waalay kaghaz par tipka dein.Agar ye kaghaz qatray jazb kar giya to samajh lein k ye shehad khaalis nahi hai.agar aapke paas jazb karnay waala kaghaz nahi hai to Iske liye aap white kapraa bhi istemaal kar sakte hain.is kapray par shehad ke chand qatray giraa kar thori dair baad isko dho lein. agar kapray par daagh dhabbe ka nishaan baaqi reh jaye to samajh lein k shehad khaalis nahi hai.

Aur aap sey meri ye darkhwast hai ke aap meri posting ko share zaroor kiya karen kyun ki agar aap ki wajah sey kisi ko faida pohnchy ga to ye aap ke liye bhi sadqa e jariya ban jayega inshaAllah. Nechy share ke button ko press karen aur facebook, twitter, google plus, whatsapp, viber, imo, pinterest, tumblr, kisi bhi social network par ye post apne friends ke sath share karen.

Comments