Nas Chadna Remedies Nas Pe Nas Chadna Pathon Ka Khichao Ka Ilaj In Urdu Nas Chadna Reasons Nas Chadna In Back

Gardan Ki Nas Pe Nas Chadna Nas Pe Nas Chadna In Pregnancy Nas Pe Nas Chadna Meaning In English


nas-ka-dab-jana-nas-ka-problem-nas-ka-foolna
Muscle Cramps Leg Treatment


Hum mein se aksar logon ko sote mein achanak pindli mein shadeed khichao mehsoos hota hai jis ke bais shadeed taisen uthti hain. Pathon ke uzlat sukar jane ke bais paida hone wali is kefiyat ki akhir kya wajah hai? aur is say kesy bacha ja sakta hai.??

Aam taur par kisi bhi shakhs ki pindli ke uzlat mein akar peda ho sakti hai tahum aksar o beshtar iska shikar bari umar ke afrad aur khiladi hote hain. Aam taur par ye takleef zyada dair aram karne ya nihayat sakht jismani warzish ke doran peda ho jati hai. Taham chand cases mein iski wajah sey sanjeeda noyiat ki tibbi kefiyat bhi ho sakti hai.



Pathon Ka Khichao Ki Alamat Pathon Ke Dard Ka Desi Ilaj in Urdu


Central Germany mein qaim Helly University Hospital mein Neurological Clinic ke director Stephan Zierz kay mutabiq muscles mein khichao peda hona ya tanau hona pathon mein sozish ki nishani hone ke sath sath Hypothyroidism ki wajah sey bhi ho sakta hai. Yani wo clinical halat jo Thyroid Hormones ki wajah se hote hain. Director Stephan ke mutabiq iski wajah pathon ko mutasir karne wali dusri bimariyan bhi ho sakti hain kyon ki pathon ka khinchao ya pathon ka akar jana bazat e khud aik mbhum alamat hai.
Doctor Stephan mashwara dete hain kay agar dard ka ye dora zyada dair tak rehta hai aur rozamara k kamon ko sir anjaam dete hue mushkilat peda karta hai to behtar hai k fori taur par doctor se raju kiya jaye. Unhone is baat ki janib bhi ishara kiya kay agarcha ye dard nihayat nagawar hota hai tahum ye mirgi ke doron jitna khatarnak nahi.

Muscle Cramps Meaning In Urdu Nas Pe Nas Chad Gayi Nas Pe Nas Kyu Chadti Hai?


Pathon ke khichao ka shikar zyada tar khilari bante hain dusri janib pathon ke khichao ke bais parne walay har doray ko ilaj ki zaroorat nahi hoti. Physicians ke naib sadar Dieter Bening kehte hain kay muscles spasm ki kefiyat ko khatam karne ke liye zaroori hai kay pathon ko stretch kiya jaye yani lambai mein khencha jaye Boening ke mutabiq is amal se jism ke mutasira hise se tanau kam ho jata hai.
Boneing ke mutabiq khilariyon ke pathon ke sukrne ki kefiyat ka samna, jism mein pani ki kami ya jism mein majood madniyat ki kami ke bais karna parta hai. Iske ilawa gardish khoon k hawale se amraz aur sakht mushaqat ke bais bhi pathon mein akar peda ho sakti hai jis ka nishana amoman tangen banti hain.

Pindli Ke Dard Ka Ilaj


Germany ki Federal Association braye Self-Employed Physiotherapist ki chairperson Ute Repschlaeger kehti hain kay pathon mein peda hone walay tanau se bachne ke liye zaroori hai kay kisi bhi khel se wabasta sir garmi shuru karne se pehle warm up exercise kar li jaye ta kay pathon ko zyada tanau parne ke khatre se bachaya ja sake aur agar is ke bawajood muscles spasm ho jaye to phir mutasira hisy ka massage ya phir exercise zarori hai. Iske ilawa mustaqbil mein is dard se bachne aur pathon ko aram pohanchane ke liye garam pani se nahana chahiye. Iske ilawa garam pani mein bheege toliye se pathon ka massage karna bhi behtreen amal hai.
Doctor Repschlaeger ne khichao se mutasira hise k neche garam pani ki botal rakhne ki bhi takeed ki hai. Doctor Stephan btatay hain kay agar pathon ke uzlat ka dard bohat shadeed ho ya matwatar ho to aisy mein doctor mirgi k ilaj mein istemal ki jane wali dawayen ya dard mein aram ke liye istemal ki jane wali chand khas adviyat tajveez karte hain kyon ki is dauran aam dard kash adwiyat jesy ke Aspirin ya Paracetamol asar andaz nahi hotin Aur aap sey meri ye darkhwast hai ke aap meri posting ko share zaroor kiya karen kyun ki agar aap ki wajah sey kisi ko faida pohnchy ga to ye aap ke liye bhi sadqa e jariya ban jayega inshaAllah. Nechy share ke button ko press karen aur facebook, twitter, google plus, whatsapp, viber, imo, pinterest, tumblr, kisi bhi social network par ye post apne friends ke sath share karen.

Comments