Dant Dard Ka Totka Zubaida Apa Dant Me Dard Ki Gharelu Upay Daant Mein Dard Ka Ilaj In Hindi

Manjan Banane Ka Tarika Dant K Dard K Liye Totkay Dant Dard Ke Gharelu Nuskhe In Hindi



Toothache Pain Relief  Home Remedies



Dant Dard Ke Liye Kya Kare Dant Dard Ka Ilaj



Kuch logon kay dant aisy hote hain kay agar wo gosht ya koi sakht cheez kha lain to unky danton ko masla ho jata hai. Phir chahe bakra eid ho ya koi special event gosht khany par unky daant mein pain hona start ho jati hai. Manjan banane kay liye bakary kay paye sey gadood wali naliyan dho kar sukha lain thorey sey badam kay chilkay le kar karahi mein rakhen akhrot kay bhi chand chilkay daal kar aag lagaye aur is par bakre ki naliyan rakh kar jalayen.
Jab kalay koyle ki tarha ho jayen to inhen pees lain aur thora sa namak mila kar mutthi bhar kali sabit mirchen pees kar shamil karen. Aik dalli sufed phitkari ko taway par jala kar sufed khel kar lain phir sab chezen pees kar rakh lain gharelu manjan tayar hai.



Tooth Pain Treatment At Home In Urdu Dant Ke Dard Ka Gharelu Ilaj In Urdu



Ye manjan apky danton sey mail kuchail bhi utar deta hai daant saaf bhi rehty hain aur mazboot bhi ab gharon mein manjan nahin bante tarha tarha ki toothpaste hain. In mein herbal bhi shamil hai aur neem ki paste bhi mil jati hai. Raat ko sarson kay khalis tail mein zara sa namak mila kar danton par mala jaye to daant theek rehty hain. Namak bilkul mamooli hona chaiye danton ki safai rakhi chaiye jo log misvak karte hain inkay daant safed aur mazboot rehty hain aur ye hamare pyare Nabi Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ki sunnat e mubarika bhi hai. Khana khanay kay baad zaroor daant saaf karne chahiye aaj kal to doctors kehty hain kay nashtay kay bad achi tarha toothpaste karni chahiye ta kay dopehar kay khanay tak mun saaf rahy. Isi tarha raat ko sony sey pehle zaroor dant saaf karen kyunki danton ki safai bohat zarori hai.

Comments