High Blood Pressure Treatment Home Remedies In Hindi Blood Pressure Measurement In Urdu

High Blood Pressure Diet Foods To Avoid In Hindi



High Blood Pressure Ka Gharelu ilaj Desi Tips


Aaj kal high blood pressure barhti umar ka aik lazmi masla ho gaya hai. Jab aap ka dil dharakta hai to khoon aap kay jism mein gardish karta hai aur isay require energy aur oxygene provide karta hai. Blood movement kay doran blood venise par dabao dalta hai is dabao ko blood pressure kaha jata hai.

Normal Blood Pressure Level In Hindi


Blood Pressure ko janne ka wahid tarika ye hai kay iski measurement ki jaye jab BP ki measurement hoti hai to isay 2 numbers mein likha jata hai for example 120 HB/ 80 MM ya 80 neechy aur 120 upar ye normal blood pressure hota hai.


High blood pressure ka nechy ka BP 90 aur upar 140 ya iss sey zyada ho aur ye condition kai hafton tak barqarar rahe to aap ko high blood pressure ho sakta hai. Ya phir agar dono mein sey aik number bhi zyada ho to aap ko High BP ho sakta hai. HBP sey aap apne aap ko bemari mehsoos nahi karenge lekin ye sehat kay liye intehai khatarnak ho sakta hai. Agar iss ko kam na karen to ye heart, blood veins aur dusry parts ko barbad kar sakta hai ye aap ki sehat kay sangeen masail paida kar sakta hai.

Pakistan Mein Blood Pressure Ki Sorat e Haal


Pakistan mein 18% adults aur 45 saal sey zyada umar kay 33% logon ko high blood pressure ki bimari ka samna hai. Badkismati sey sirf 50% cases mein he digonose ho pati hai aur in mein sey bhi sirf adhay cases mein ilaj karwaya jata hai.

High Blood Pressure Diet Gharelo Totkay For High Blood Pressure In Urdu



Jab baat high blood pressure jaise khamosh qatil samjhe jany waly marz ki ho to aap ki khurak he sab sey bari dushman sabit hoti hai. Agar aap high blood pressure kay shikar hain to aap ko namkeen cheezon sey door rehna chahiye taakay blood pressure ko control mein rakha ja sake magar iski wajah sey aap apne pasandeda khano sey mehroom ho jate hain. Magar aap fikar na karen aisi bohat sari khane ki chezen hain jo aap ka blood pressure kam karne ka kaam bhi karti hain.

High Blood Pressure Me Kya Nahi Khana Chahiye

High Blood Pressure Me Kya Khana Chahiye High Blood Pressure Ka Gharelu Ilaj In Hindi


Banana (Kela)


Namak ya sodium ki jism mein zidati aap ka blood pressure barhati hai iska tor potassium hai jo kelay mein kafi paya jata hai. Banana sodium ko kam karke aap kay blood pressure ko bbhi kam karne mein help karta hai. Aik research kay mutabiq din bhar mein sirf 2 kelon ka istemal 10 percent tak blood pressure kam kar deta hai.

Tomato (Tamatar)


Tamatar lycopene sey bharpoor hota hai jo blood pressure ka level kam karne mein help karta hai. Apni rozana ki khurak mein agar lycopene ko shamil kar liya jye to aap apne LDL ya kharab cholesterol ko 10% tak kam kar sakte hain jis sey apka blood pressure bhi kam hoga.
Egg Albumin (Anday ki sufedi)
Aap apne din kay aghaz mein breakfast par agar anday ki sufed ka istemal karen to is sey na sirf protein ki zaroorat puri ki ja sakti hai balky ye blood pressure ko bhi low karta hai.

Watermelon (Tarbooz)


Mosam e garma mein iss mazedar phal ko kon istemal karna pasand nahi karta? Aik research kay mutabiq watermelon blood pressure level ko control karne aur blood pressure ko normal rakhne mein help karta hai.

Raisins (Kishmish)


Kishmish ki thori si miqdar rozana istemal karne sey aap iss marz sey kafi had tak mehfooz reh sakte hain.

Green Tea for High Blood Pressure (Sabz Chaye)


Coffee ya Tea ki jagah herbal ya sabz chaye ko peena apni adat bana lain. 6 weeks tak rozana 3 cup ka istemal blood pressure mein 7 points tak kami laa sakta hai. Medical experts kay mutabiq high blood pressure mein thori si kami bhi dil ki sehat par asar andaz hone waly sangeen khatrat ko kam kar deti hai.

Comments