Anemia Causes Symptoms And Treatment In Hindi
Khoon Ki Kami Ka Ilaj Red Blood Cells Deficiency Desi Treatment |
Khoon Ki Kami Ki Waja Khoon Ki Kami Ka Ilaj In Urdu
Mufeed ghizaon ka istemal barhane aur nuqsan deh khurak mein kami karne sey bhi afaqa hota hai. Khawateen ko agar khoon ki kami hai to Sab sey pehly ye yaqeen kar lain koi naswani masla na ho. Agar koi aisa masla hai to iska ilaj bhi lazmi karen warna har ki koshish be faida hogi. Jismani kamzori aur khoon ki kami door karne kay liye aap kisi bhi achy tibbi murakkab kay akseer e jigar kay sharbat 2 chamach subah o sham nihar mun arq e badyan kay adhy cup mein mila kar peena shuru kar dain. Khanay kay 2 ghanty baad jawarish e anarian ki 1 chamchi din 2 bar khilayen.
Raat ko sote waqt dawa e lmsak matdal sada aik chamchi neem garam doodh kay sath dain. Baingan, bara gosht, chawal, anda, masoor ki daal, tali, bhuni, tursh, baadi aur murghan ghizai ajza sey mukammal perhaiz karen. Mosami phal kachi sabziyan, tarkariyan aur salad ba kasrat istemal karwayen. Anaar, angoor, amrood, saib, tamatar, mousami, fruiter, palak, gajar, chukandar, shaljam, moli, kheera, ghiya tori, tenday, aur pudina, anar dana, adrak ki chutney daily apni khurak mein shamil karen. Khali pait tez qadom ki sair aur halki phulki warzish karen.
Comments
Post a Comment