Foot Pain Treatment Home Remedies In Hindi
Pair Dard Ka ilaj Foot Pain Treatment at Home |
Jo log rozana bahar jate hain jaise kuch students jinka bahar jana zaruri hota hai school, college aur university students aur jo log rozgar kay silsile mein paise kamane ke liye bahir rehte hain inkay paon aur pindliyon mein kai din sakht dard hai. Raat ko paon bistar par marty hain doctor ko dikhane kay baad araam to mil jata hai lekin wo waqti araam hota hai jo medicine sey mil jata hai. Usky baad phir pindliyan aur paon dard karte hain duble patle logon kay liye ye masla zyada hota hai.
Foot Bone Pain When Walking Foot Pain Treatment In Urdu
Aisy log jo is takleef ka shikar hain wo apna joota tabdeel karke dekhen faraq parta hai ya nahi kyun ki Baaz dafa joota badal lene sey bhi dard theek ho jata hai. Zaitoon ka tail bhi dard mein bohat araam deta hai aap zaitoon kay tail ka massage karen iss sey aap kay paon aur pindiliyon mein khichao kam hoga. Raat ko sone sey pehle 10 minute pani mein thora sa namak daal kar paon bhigo lain phir paon saaf karke bilkul halka sa zaitoon k tail ka massage karen.
Pair Ki Pindli Ka Dard Ka Ilaj
Aap ko chahiye kay aap 3 kelon ka milkshake bana kar piyen aur agar aap milkshake nahi pee sakte to sirf 3 kelay kha lijiye. Banana mein iron hota hai isky khanay sey red blood cells mein izafa hota hai aur 1 mah tak ye totka istemal karen iski sab sey bari bat ye hai kay aap ki pindlion mein majood dard ahista ahista khatam ho jaye ga aur apki sehat mein bhi behtri ayegi. Banana mein fiber hota hai aur 3 iqsam ki sugar bhi hoti hai jo insan ko energy deti hai kelay mein vitamin B majood hota hai. Aur aik bat jo qabil e ghor hai kelay jab le ayen to inko fridge mein na rakhen kyun ki thanday kelay aap ko faida nahi denge agar garmi ka mosam ho aur kelay kharab hone ka dar ho to phir aap fridge mein rakh sakte hain.
Comments
Post a Comment