Breakfast Na Karne Ke Nuksan Nashta Na Karne Ke Nuqsanat

Healthy Breakfast Tips In Urdu


Breakfast Benefits Nashta Karne Ke Fawaid

Sehatmand Nashta Konsa Hota Hai? Sehatmand Nashta Karne Ka Tarika




Breakfast subah ka nashta karna zarori hai breakfast ke faide nashta karne ke fayde aaj kal aksar gharon mein subah ke nashty ka masla paya jata hai log jaldi mein hote hain aur sirf 1 cup chai pee gharon sey bahir nikal jate hain aur jin gharon mein khawateen bhi jobs karti hain aur unky bachy bhi school jate hain unky gharon mein bhi aisa dekhne mein aya hai aisy log dopehar ko thora bohat canteen sey kha pee lete hain aur taqreeban sham ke 4 baje wo ghar ka khana khate hain aisy gharo ki maayen apny bacho ke hawale se bohat pareshan rehti hain. Subah ka nashta bohat zarori hota hai subah ka nashta karna humen din bhar ki tawanai faraham karta hai kaam ki karkardagi barh jati hai aur jadeed tehqeeq sey is baat ka bhi pata chala hai kay subah ka nashta he insan ko bharpoor karkardagi aur energy ka moqa faraham karta hai jo log nashta nahi karte wo thakan susti aur thakawat ka shikar ho jate hain.

Villages mein roti, chati ka ka makhan aur lassi sey nashta karke kisan tamam din anthak mehnat karte hain. Hamary haan double roti, makhan, jam daliya waghera liya jata hai bahir ke mumalik mein juice aur daliya jis mein dry fruit waghera shamil hoon khaye jate hain balky sookhay hue keelay kay qatlay aur sookhe phal bhi shamil karke khaye jate hain. Mayen apne bachon ko le kar hamesha fikar mand rehti hain sehat or tandrust rehny ke liye hamein hamesha ghar sey nashta karke jana chahiye jis sey tamam din ka kaam asaan ho jata hai aur thakan bhi mehsoos nahi hoti.

Comments