Muhase Ke Nishan Hatane Ke Upay
Face Pimple Marks Remove Tips
|
Aksar auaqt jin logon ke Chehre par danay hote hain wo inko khuja lety hain jiski wajah sey danay theek to ho jate hain lekin apne nishan chor jate hain jo baad mein bohat bury lagte hain.
Pehli baat to ye hai ke keel muhason se kabhi chair chaar nahi karni chahiye warna ye apko apni yaad dilatay rehte hain. Muhasay chikni jild par nikalty hain chehre ki safai ka khaas khyal rakhna chahiye jo larkiyan 5 waqt wazzu karti hain inka chehra saaf rehta hai. Jin girls ke chehry par muhason ko bad dany ya nishan nikal ate hain unhy chahiye ke taiz masaly wali chezen na khayen aur apne mahwari ka khyal rakhen burger aur bakery ki chezen khani band karen.
Simple food khayen dahi, salad aur sabziyon ka ziyada istemal karen cold drink na lain balkay ziyada sey ziyada pani peene ki koshish karen pani jild ko nami deta hai. Aleo vera mangwa kar is ki shaakh ko tor kar peela pani tissue paper sey saaf karen aur 1 inch ka tukra kaat lain iska guda nikal lain. Ab iss mein 1 chamach shehad milayen ab is pate ko dano k nishanat par garha garha paste laga kar 20 se 25 minute ke liye chor dain. Phir issay tissue paper sey saaf karke mun dho kar khushk karen.
Thora sa arq e gulab khushk hone dain chand roz lagany sey nishanat madham parny lagy gay aloevera aur shehad chehre ke dano ke liye mufeed hai.
Pehli baat to ye hai ke keel muhason se kabhi chair chaar nahi karni chahiye warna ye apko apni yaad dilatay rehte hain. Muhasay chikni jild par nikalty hain chehre ki safai ka khaas khyal rakhna chahiye jo larkiyan 5 waqt wazzu karti hain inka chehra saaf rehta hai. Jin girls ke chehry par muhason ko bad dany ya nishan nikal ate hain unhy chahiye ke taiz masaly wali chezen na khayen aur apne mahwari ka khyal rakhen burger aur bakery ki chezen khani band karen.
Chehre Ke Daag Dhabbe Hatane Ke Nuskhe
Thora sa arq e gulab khushk hone dain chand roz lagany sey nishanat madham parny lagy gay aloevera aur shehad chehre ke dano ke liye mufeed hai.
Comments
Post a Comment