Mushroom Benefits in Urdu
Khumbi Ke Fawaid in Urdu Mushroom Advantages |
Khumbiyan fungus, kayi ya phaphundi ke nabatati group se taluq rakhti hain. Iss group ke baaz arkan itny chote hain kay inhen khurd been ke baghair dekhna mumkin nahi. Kuch nazar aa jate hain aur inhi mein khumbiyan bhi shamil hain inki jisamat chand centimeter se le kar kai meter tak ho sakti hain. Riwayat ke mutabiq ya daryaft itefaqiya hui hai kay khumbiya khai ja sakti hain. Qadeem insan jab bhook sey betab ho kar har phal phool chakh raha tha to khumbiyan isky haath lain isny inhen lazeez paya aur apni ghiza mein shamil kar liya. Yun khumbiyon ke khawas se la ilmi ke bawajood insan se is se mustafeed hota raha isky ghizai istemal ka pehla hawala aik hazar saal qabal maseeh mein milta hai neez mukhtalif adwar ki tehreron mein bhi iska zikar majood hai. Munfarid zaiqy aur khushbu ki bina par mazi mein khumbiyan yunani, romi, misri aur cheeni shehanshahon ke dastar khawan ki zeenat rahen. Yunani na sirf isay khate balky iski tijarat bhi karte thy. Ahl e rome ne isay devtaon ki khurak qarar diya.
Mushroom History
Rumi shehanshah khumbiyan ko be had mutbarak samjhte thy. Isliye kisi ko khumbiyan bataor e tohfa bhjiwaty to inhen ghulamon ki bajaye koi moazzaz shakhs le kar jata tha. Inkay nazdeek ye jismani taqat ka sir chashma then. Isliye iska istemal shehanshahon aur jernelon tak mehdood tha. Hatakay koi aam admi is sey istefada karta to isay maut ke ghaat utar diya jata. Jadeed scientific research ke mutabiq khumbiyan lamhiyat ka umda zariya hain. In mein Vitamin B ki tamam iqsam ke ilawa bhi ilawa madniyat bhi milti hain. Isliye matwazan ghiza kaha jata hai. Ye Europe, America, Mashriq e baeed, Japan, China aur Russia ke bashindon ki marghoob ghiza hai.
Mushroom Nutrition Information
Khumbiyon mein milne wali vitamins ki ye khubi hai kay taiz aanch par pakane, dabon mein band munjamid karne se ye zaya nahi hoti balky apne khawas barqarar rakhti hain. Khumbiyon mein vitamin B sab sey ziyada hota hai. Faulaad bhi eham juz hai iss mein calcium, phosphorus, gandhak, mengnez aur tanba waghera paye jate hain jo jism ki zaroriyat bakhubi puri karte hain. In mein nashasta aur roghniyat ki tadad ziyada nahi hoti is liye motapa amraz, qalb aur sugar mein inka istemal mufeed hai neez wazan kam karne ke liye bhi khumbiyon par inhesar kiya ja sakta hai. Inhen khanay sey jism ko matlooba vitamin aur madniyat mil jati hain jab kay wazan nahi barhta. Khumbiyan aam podon sey yaksar mukhtalif hain iss mein jar, shaakhein, pattay ya beej nahi balky sirf 2 hisse hote hain yani tana aur chatri, chatri goal, gaind, thaal ya saib numa hoti hain.
Comments
Post a Comment