Wazan Kam Karne Ka Gharelu Tarika In Urdu
Pait Ki Charbi Pighlayen Ghiza Sey
Aaj kay daur mein sab sey bara masla ye bhi hai kay wazan kaise kam kiya jaye aur kuch logon ka wazan ziyada nahi hota aur jism dubla patla bhi hota lekin unka pait bahir ko nikala hota hai. Ziyada tar parmanent kisi diet plan par amal nahi kar paate isliye aaj kuch aisi ghizaon ke baray mein apko bata rahi hoon jin ko agar aap apne maamol mein shamil kar lain to barahy hue pait sey jan chut jaegi motapa se nijat mil jaegi lekin yaad rakhen pait kam karne ke liye warzish ki ahmiayt sey bhi inkar nahi kiya ja sakta. Tamam phal ghizaiyat sey bharpor hote hain jo yaqeeni taur par jism sey fazool maadon ko nikalne mein madadgar sabit hote hain lehaza din bhar mein kam az kam aik mosami phal har kisi ko zarori khana chahiye ta kay jism mein majood fazool madoon aur charbi sey pecha churaya ja sake. Saib berries, mushroom, papeeta, pineapple aur palak phal aur sabziyon ka aisa group hai jo jism ko izafi charbi sey nijat dilanay ka sabab banta hai.
Khair inky ilawa bhi kuch aisi ghizayen majood hain jo jism mein khasosan pait ki charbi ke liye mufeed hai.
Green Tea:-
Green Tea qamar ke ird gird majood charbi ko pighlane ka aik behtreen zariya hai. Iss mein jism ke fazil madon aur zehreeli kasafton se larny ki aik qudrati silahiyat majood hoti hai. Lekin yahan ye bat bhi qabil e zikar hai green tea ka omega 3 fatty acid degar research sey sabit kay aisi ghiza jis mein omega 3 fatty acid wafir miqdar aur omega 6 fatty acid ki kam miqdar pai jati ho wo jism kay fazool madon sey larny ke liye madadgar sabit hoti hai. Machli. akhroti aur khushk mewa jaat mein omega 3 fatty acid wafir miqdar paye jate hain.
Masala Jaat :-
Ji haan daily routine mein khaye jane walay kuch masalay bhi hamare jism ke liye mufeed sabit hote hain jaise kay lehsan, haldi, darcheeni, adrak, aur mirchen ye tamam jism mein izafi charbi banne sey rokte hain.
Pani :-
Insani jism agar pani ki kami ka shikar ho jaye to la tadad masail janam lete hain. Amuman jism ki zehreeli kasafatain pani ki sorat mein he jism sey nikal pati hain. Lehaza har insan ko apni jismani zaroriyat ke mutabiq pani ka istemal karna chahiye.
Anaaj :-
Anaaj mein fiber wafir miqdar mein majood paya jata hai. Jo jism mein insulin ke rad e amal ko control mein rakhta hai isky ilawa anaaj mein vitamin bhi majood hota hai jo jism mein izafi maadon ko bhi kam karta hai. Mazeed latest health & beauty tips hasil karne ke liye humare blog ko subscribe karen aur is post ko share bhi karen.
Comments
Post a Comment