Phate Paon Ka Ilaj Crack Feet Home Remedies Phatay Paon Ka Desi Treatment In Hindi/Urdu

How To Cure Cracked Feet Quickly How To Heal Crack Heels At Home


Crack Foot Treatment at Home Remedies In Urdu/Hindi


Kuch logon ke paaon aisy hote hain kay Waqti tor par cream lagane se to unky paaon theek ho jaate hain. Lekin phir 2 se 4 din baad dobara phat jaate hain.Yeh kis tarah theek ho sakte hain? Bazaar se patton walay Shalgam layie.Sabzi wale patte torr kar phank detay hain.Shalgam sufaid aur zard rung ke hote hain. Desi shalgam surkh safaid maail bhi hote hain.Aap ye jaan kar hairan hoon gay ke in mein Calcium, Potassium, Phosphorus, Iron aur Vitamin A,B,C ke saath saath paani bhi mojood hota hai.Sehat ke liye ye sabzi bohat mufeed hai. Aankh ke papotay par bhar bhrahat mehsoos ho, sujan, Waram ho, Qabz rehta ho, aur High Blood pressure ki shikayat ho, to sabzi paka kar ya kachi khaane se bohat faaida hota hai.Is ke khaane se khoon bhi saaf hota hai.Isay hamesha patton samait pakana chahiye.Halki aanch par pakana chahiye, bohat mazedaar saalan hota hai. Qudrati tor par Qabz door karta hai.Peshab ke zariye Masana aur Jigar ki safai bhi ho jaati hai.Shalgham ke patte barhi huwi tond ko bhi kam kar detay hain.Pait mein ​Gas nahi banti. Lahore ke aik purane Tabeeb Sahib shalgam se ilaaj karte thay.


Paaon Ki Badbu Door Karne Ke Tarike Foot Odor Cure

Phatay Huwe Paon Ka Gharelu Ilaj Phatay Huay Paon Kesy Theek Kare?


2 baray Shalgham lay kar inko tukron mein kaat lein.Saath naram o nazuk aik do patte bhi kaat lein.Is par pissa huwa Kala zeera aur thora sa Noshader pissa hua chirak kar subah nihar moo khaa lein.Chand dinon mein pait ki sakhti , Waram khatam ho jaye ga.Qabz door ho jaye gi aur pait bhi aahista aahista Apni Qudrati haalat me aajaye ga.Shalgam gosht mein bhi pakta hai, aur uski bhujiya bhi baray mazay ki banti hai.Narm o nazuk patte kaat kar is me aik Shalgham kaat daal detay hain.Thoray tail me lehsun kaat kar, safaid zeera aur sabit surkh mirch daal kar, phir patte aur Shalgam daal kar dhak detay hain.Shalgham ke apne paani mein hi bhujiya banti hai.Aap isay roti ya chawal ke saath khaa sakte hain.


Paaon phatne ke liye Saalon se Shalgham istemal hota raha hai.Aik do Shalgham ke tukray ziyada paani mein daal kar khoob ubaal lein.Jab Shalgham achi tarah se gal jayein to utaar lein.Paani neem garm ho jaye to kisi baray bartan mein daal kar Aadha chamacha namak daal dein.Aur is mein apne paaon bhigo kar rakhein.15 se 20 minutes tak paaon bhigo kar rakhein.Phir nikaal kar saaday neem garam paani se dho kar khusk kar lein.Ab paaon par halki si Petroleum jelly ya Vaseline laga kar so jayen.5 dino tak yehi amal karein paaon theek ho jayein gay. Inshaa'Allah.

Comments