Height Kaise Badhaye In Hindi Qad Barhany Ka Nuskha Qad Barhane Ka Desi Tarika Urdu Mein

Height Lamba Karne Ka Tarika Hindi Me


-kad-kaise-lamba-kare-chota-qad-lamba-karna-height-badhane-ke-liye-kya-karna-chahiye
Height Lamba Karne Ke Tips In Urdu


Kad Ko Lamba Kaise Kare In Urdu



Chotay Qad ko aam tor par insani shakhsiyat ki bohat bari khami tassawur kiya jaata hai. Kyon k chotay qad ke hamil log aksar etemad ki Kami aur ehsaas mehroomi ka shikaar hote hain. Logon ki is pareshani ka faida utahate huwe mukhtalif companies ne market mein Qad barhane ke liye bohat si masnuaat motaref (introduce) karwa rakhi hain, jinke aksar matlooba nataej hai hasil nahi hote.
Haqeeqat ye hai k chotay ya bare Qad ka inhesar insani jeans aur kisi had tak khurak aur warzish par hota hai. Experts ke mutabiq aik mard 25 saal jabke khatoon 18 ya 19 saal tak Qad barhne ke marahil tae kar letay hain.Insani jism mein mojood H.G.H (human growth hormone) Qad barhane ki wajah hota hai. Issi liye experts ka kehna hai k aisi khurak ka zyada istemaal kiya jaye Jo mazkoora hormone ko active karne mein muawin saabit hon.Yahan hum aapko aisi cheezon ke baare mein bataein ge, khurak ke zariye se Jin ka hasool aapke Qad ko barhaa sakta hai.



Kad Lamba Karne Ka Totkay In Urdu

Protein:-

Protein jismani nasho numa ka ehum juz hain, Jo jismani reshon (tissues) ko mazboot bana kar Qad barhane ki wajah bantay hain. Protein amino acid par mushtamil hote hain Jo hormones ki nashonuma aur haddiyon ki mazbooti ke liye laazmi hai. Protein ke hasool ka bara zariya machli(fish), anda (egg) aur phali dana (sabzi ki aik qism) hai.

Vitamins:-

Vitamin D mazboot haddiyon ke liye bohat zaroori hai, aur iski kami kamzor haddiyon aur Chotay Qad ki shakl mein zahir hoti hai. Jism ki normal nashonuma ke liye vitamin D ke elawa A,C,B1,B2 aur vitamin F bhi zaroori hote hain. Aur ye sab vitamins phalon aur sabziyon mein kafi miqdar mein mojood hote hain.

Minerals:-

Minerals mein shamil Magnesium, Phosphorus, Fluoride, Iodine aur Iron Qad aur jism ki nashonuma mein aehum kirdaar adaa karte hain. Iske elawa ghiza ki 10 iqsam aapke Qad ko barhaa sakti hain.Jin mein Doodh, Dairy foods, phal aur sabziyan, chicken, Beef (bara gosht), Daalein (Lentils) , Anday (eggs), Soybean, jow aur Tonga calcium shamil hain.

Comments