Peshab Ki Jalan Ka Gharelu ilaj Mota Hone Ka Tarika Peshab Jal Kar Ana Kheera Khane Ke Fayde

Peshab Ki Jalan Ka Fori ilaj Mota Hone Ke Liye Kya Karna Chahiye


mota hone ka tarika tips in urdu
Peshab Ki Jalan Ke Liye Kya Karna Chahiye


Kheera Kheere Ke Fawaid In Urdu Advantages Of Cucumber In Urdu



Mareezon Kay Sawalat:-


Mujhe peshab kam ata hai halankay main pani b peeta hun Saeed Akhtar umar 18 saal kehte hain kay iski wajah se main pareshan ho jata hun baaz dafa peshab jal kar bhi aata hai isliye batayen main kya karon?

Raheela Ashraf kehti hain main bohat dubli aur patli hoon din mein 3 bar datt kar khana khati hoon magar mera wazan bilkul nahin barhta kapray pehnti hoon to wo achay nahi lagte mujhe batayie main kya karun? Meri shaadi hone wali hai main pareshan hoon.


Hakeem Sahib Ka Jawab:- Burning Sensation in Urine Treatment


Saeed Akhtar sab aap achi kisam k kheery khareed kar layen kheery ki salad bana kar khaiye peshab khul kar aaye ga kheera thanda hota hai. Ye maday ki tezabiat ko bhi door karta hai chand roz 2 se 3 kheerey kha kar dekhiye tarbooz aur kakri is mosam mein hote hain garmi k mosam mein in mein pani ki miqdar ziyada hoti hai. Pehle to safed zeera, kali mirch aur namak daal kar kheery khate thy ab jadeed tehqeeq k mutabiq agar kheera kaat kar is par pissi hui surkh mirch aur namak chirak kar khaya jaye to sehat par numayan asar parta hai.

Kamzor Bachon Ko Mota Karna Kamzor Bachon Ka ilaj Weight Gain Tips

Maday ko taqwiyat milti hai. Thakan door ho jati hai. Raheela baaz dafa pait mein keere ho jayen to bhook bohat lagti hai magar khaya piya nahi lagta aap ek bar doctor ko zarur dikhaye k masala kya hai andruni takleef to nahi bachiyan kisi ko batati bhi nahi aik bar apni walida k sath doctor k haan ja kar puchiye to sahi kya masla hai umeed hai wo aap ko sahi mashwara degi.
Dopehar ko 2 se 3 kheery khaye kheere bhi jism ko sodoul banate hain jo bachy kamzor hoon in ko 5 khajoorain khila kar doodh ka 1 glass pilayen ya khajoor ka shake bana kar dain sehat thek ho jayegi taqatwar aur tawana tandrust ho jayenge.

Comments