Tonsils Ka Gharelu Ilaj In Urdu Tonsil Infection Home Remedy In Hindi Tonsils Ka Desi Ilaj In Hindi

Tonsils Ke 9 Asan Gharleu Ilaj Gale Ke Tonsils Ka Ilaj In Urdu


bachon-k-tonsils-tonsils-ka-desi-nuskhe-tonsils-home-remedy-in-urdu
Tonsils Treatment Home Remedy In Urdu/Hindi 

Tonsils bachon mein hone wali aam bimari hai jab aksar baray bhi is say mutasir ho jate hain. Aksar viral ya bacterial infection ki wajah sey tonsils barh jate hain.

Tonsils Symptoms In Urdu/Hindi


Tonsils ki aam alamat men galay ki kharash, bukhar ho jana, naak behna, nigalne mein takleef hona, saans mein badbu aana, khansi aur cheenkain shamil hain.
Tonsils ki bimari khansi aur cheenkon k zariye aik sy dusre ko lagti hai is liye iska fori ilaj zarori hota hai. Tonsils ke liye antibiotics ka istemal karwaya jata hai lekin alamat zahir hone ke sath he gharelu ilaj ke zariye bhi infection se bacha ja sakta hai.

Tonsils K Totkay Tonsils Ka Gharelu Nuskhe

Also Read This Tip: Baby Rashes On Hips Bachon Ke Peeth Par Surkh Nishan Ka ilaj

1-Honey (Shehad)


Tonsils samait galay kay kisi bhi marz ke liye shehad ka istemal be had mufeed hai. Shehad ko garam pani mein daal kar ya phir kisi cheez ke bagair bhi istemal kiya ja sakta hai. Shehad galay ki sujan ko aur takleef ko kam karta hai.

2-Lemon (Leemu)

Lemon mein majood anti bacetrial, anti viral khasusiyat infection se bachati hain. Is mein majood vitamin C jism ko infection se bachne ki silahiyat faraham karti hai. Aik glass neem garam pani mein aik lemon ka ras, aik chutki namak aur aik chaye ka chamach shehad shamil karen. Din mein 2 martaba pani ahista ahista piyen.

3- Holy Basil Leaves (Tulsi Ke Pattay)

Tulsi ke patton mein anti-viral khasusitay hain. Ye galay ki kharash ko kam karne ke sath sujan aur dard ko bhi kam karte hain. Derh cup pani 10-12 tulsi ke patte daal kar josh de lain. 10 minute tak pakar kar chan lain. Iss mein lemon ka ras shamil karen aur agar aap chahen to aik chaye ka chamach shehad bhi shmail kar lain. 2 se 3 din tak din mein 3 martaba piyen. Meri post ko apne doston ke sath share karen aur apne liye sadqa e jariya banaein.

Comments