Cockroach Bhagane Ke Upay In Hindi Lal Baig Marne Ka Tarika In Urdu

Cockroach Killer Home Remedies In Hindi

lal-baig-khatam-karne-ka-tarika-cockroach-bhagane-ke-gharelu-nuskhe
Cockroach Ki Picture Cockroach Ka Photo

Cockroach (Laal Baig)

Main kaakroch se bohat pareshan hoon.Raat ko jab kitchen main jaati hoon to chote bade kaakroch bharay hote hain.Aur kuch to itne baray hotay hain ke urnay lagte hain. In say kaise nijaat hasil ki jaye?

How To Get Rid of Cockroaches In Kitchen Cabinets Naturally


Jawab:-

Cockroch bohat sakht jaan hote hain.Sirf aik kaakroch ka joraa hazaaron ki tadad me apni nasal barhata rehta hai.Andheray me unki hiss ziyada ho jaati hai, aur woh baahir aajate hain.Raat ko kitchen saaf kar ke Copex Powder Chirak dein.Subh beshumar chote baray cockroach maray huwe hon gay.In par beshumar jerms lagay hote hain, lehaza inka khatma bohat zaroori hai.Raat ko kitchen ki Light On rakhein aur Basket ko khaali kar ke dhaanp diya karein.Is tarah kaafi had tak aap cockroach se bach sakti hain.

Kitchen ki safaai bohat zaroori hai.Borak Powder 4 chaye ke chamach, Medaa 2 khane ke chamach, pissi huwi cheeni 1 chaye ka chamach mila kar paani ki madad se Goliyan bana len.Jab khusk ho jayein to kitchen ke counters aur almari mein kinaron par rakh dein.Laal baig nahi aayen gay.Kuch khateen iska paste bhi laga deti hain, lekin Goliyan ziyada theek rehti hain.3 mahinay baad aap Nayi Goliyan bana kar dobara rakh dein.

Comments