Daad Khaj Khujli Infection Dad Khaj Khujli Treatment In Hindi
Daad Khaj Khujli Khatam Karne Ka Asan Tarika |
Daad Ka Gharelu Ilaj Ringworm Ka Gharelu Ilaj In Urdu
Daad ya Dadhar jild par hone wala infection hota hai jis say jild ke kisi khas hissay par aik surkh rang ka daerah ban jata hai. Daad ka infection khatarnak to nahin albata is mein hone wali kharish insan ko bechain kar deti hai. Ye kharish chehre par aksar hoti hai jab dadhar chehre par ho iske ilaw jahan bhi ye ringworm hoga wahan uljhan aur bechaini aur kharish hogi.
Ye aik phailne wala marz hai aur isay theek hone mein waqt lag jata hai. Agar dadhar barh jaye to jild par jagah jagah chote bary surkh dayre numayan hone lagte hain.
Agar aap bhi daad ki takleef mein mubtala hain to is se chutkara pane ke liye aap ko kisi doctor ke pass jane ki zaroorat nahi balke ghar baithe bhi is se nijat hasil ki ja sakti hai. Kitchen mein payi jane wali aam cheezon se dadhar aur iske bais hone wali kharish ko door kiya ja sakta hai daad yani dadhar ke infection ko thik karne ke liye gharelu totkay darj zail hain:
How To Get Rid Of Ringworm In Humans At Home
Saib Ka Sirka:Apple cider vinegar yani saib ka sirka bohat say log shayad is baat se waqif nahi k saib ka sirka na sirf khanon ka zaiqa barhata hai balky ye anti bacterial bhi hai. Saib ke sirky ko rui mein bhigo kar dadhar par halka halka lagaye daad se nijat pane ke liye isy 3 roz tak din mein 2 se 3 martaba lagayen.
Lehsan:
Garlic yani lehsan sirky mein thora sa namak shamil karen is mixture ko daad par laga kar 5 minute ke liye chor dain phir thanday pani se dho lain is totkay ko istemal karne se 1 hafty mein daad ka infection door ho jayega.
Tulsi Kay Pattay:
Tulsi kay pattay pees kar iska araq dadhar wali jaga par lagain ye amal din mein 2 se 3 martaba dohraye us waqt tak jab tak daadh puri tarah thek na ho jaye. Agar in totkon ki madad se apka dadhar ka infection thek ho gaya hai to meri ye post apne friends ke sath bhi share karen takay dusre logon ko bhi faida ho sake.
Comments
Post a Comment