Saans Me Badbu Aane Ke Karan Saans Me Badbu Kyu Aati Hai? Bad Breath Causes From Stomach سانس کی بدبو کا علاج

Saans Mein Badbu Aane Ki Wajohat Mouth Smell Reason In Hindi


bad breath causes reasons mouth smell reason and solution in urdu
Mouth Odor Symptoms Bad Breath Casues


Mouth Bad Smell Treatment In Urdu


Saans mein bu kis shakhs ko pasand ho sakti hai? yaqeenan is say puri shakhsiyat ka tasur kharab ho jata hai aur samne waly ko baat karne mein bhi mushkil pesh aati hai tahum ye kisi ghizai ansar ki kami ki janib bhi ishara ho sakta hai. Ye baat United Kingdom mein hone wali aik medical research mein samne ayi wesy to insan piyasa ho to saans mein badbu peda ho jati hai jis ki wajah pani ki kami sey khurak aur bacteria mun mein ziyada dair tak majood rehte hain jo badbu ka bais bante hain. Tehqeeq mein ye bataya gaya hai kay ye jism mein iron aur vitamin C ki kami ki alamat bhi ho sakti hai.


North American University ki tehqeeq mein bataya gaya hai kay ghiza aur naqas ghizaayat ko aksar afrad nazar andaz kar dete hain magar ye rozmarah ke tibbi masail ka bais banne wali aadat hai. Research k mutabiq Vitamin C jism mein aisay mawad ko kharij karne mein madad deta hai jo ke saans mein bu ka bais bante hain.

Researchers ke mutabiq Vitamin C aisa tezabi aur na qabil rehaish mahol peda karta hai jo mun mein peda hone waly bacteria ko khatam karta hai. Is say qabal Colorado University ki aik tehqeeq k mutabiq saans mein bu peda hona kuch jan lewa amraz ki nishani bhi ho sakti hai. Is tehqeeq k mutabiq bohat zyada bu jigar aur gurdon k amraz ki alamat bhi ho sakti hain jab ye gurday fail hone ki nishani bhi hoti hai.

Aik dusri tehqeeq mein bataya gaya hai kay mosorohon aur dil ke amraz k darmiyan taluq majood hai aur saans mein bu peda hona iski ibtidai intbahi alamat ho sakti hai. International and American Association for Dental Research ki tehqeeq k mutabiq mosorohon k amraz ki bari nishani badbu dar saansain hoti hain. Muhaqiqeen ke mutabiq agar saans ki bu bohat zyada ho aur kafi doraniye tak rahe to aap ko doctor se check up zaror karwa lena chahiye meri ye post apne friends ke sath bhi share karen takay dusre logon ko bhi faida ho sake aur unko malomat mil sake. Thanks

Comments