Cigarette Chorne Ka Tarika Cigarette Se Kaise Chutkara Paye Smoking Se Kaise Chutkara Paye Bidi Cigarette Se Kaise Chutkara Paye
Smoking Se Kaise Chutkara Paye Cigarette Ki Lat Kaise Churaye |
Cigarette Aik Nasha Hai Cigarette Peene Ki Aadat Kaise Churaye?
Abdul Raheem kehte hain main 5 saal se cigarette pee raha hun aur mere galay mein khushki kharkharahat hai. Kabhi khansi bhi hone lagti hai main ne cigarette kuch kam kiye hain magar is se faida nahi hua aap galay ki khushki ko door karne ka koi totka batayen jis se galay ki kharash aur khushki door ho jaye main khankarta rehta hun jis se mujhe khud ko koft hoti hai meri umar 25 saal hai aur abhi kunwara hun ghair shadi shuda hoon.
Cigarette aik nasha hai lat hai bimari hai addiction hai ye aik aisi buri adat hai jis se nijat pana he acha hai. Aap ki abhi shadi nahi hui cigarette ka dhuwan bhi biwi bachon k liye zehar hai. Halanky ab har cigarette ki dibiya par likha hota hai sehat ke liye muzar yani nuqsan deh hai. Magar koi dhayan nahi deta bilajijhak cigrate peete hain.
Aap abhi bhi isay chor sakte hain khud aitmadi se kam le kar fesla karen aur cigarette chor dain isay ahista ahista apni zindagi se bahir nikal dain. Aap cigarette ko chorne ke liye mera ye totka ek bar lazmi azmayen Sonf ko bhoon kar ghar mein rakh lain aur choti elaichi misri mix karen aur isay khate rahen safedy ka darakht jisy english mein culpits kehte hain iske pattay la kar apne pass rakh lain.
Isay maroor kar cigarette ki tarah banaye bohat nasha ho to isay peene ki koshish karen is se bhi cigarette se nafrat ho jati hai. Ab sardi aa rahi hai hafta mein 2 bar zaror machli khayen takay aap k jism k andar jo toot phoot hoti hai wo kam ho jaye aur yakhni ka aik glass bhi rozana piyen. 2 Haddiyan aur 2 botiyan le kar darcheeni 1 bari elaichi 8 se 10 kali mirchen thora sabit dhaniya, namak, lehsan aur pyaz k chand tukre daal kar bakray ya murghi k gosht ki yakhni banaye iske peene se ciggrate ke dhoyen k asrat door honge.
Abhi to aap ko galay mein sirf khansi ya kharash hai baad mein ye mozi marz mein bhi mubtala kar sakti hai aur ciggrate peene se mun ka cancer bhi ho sakta hai. Galay ki kharash aur khich khich ko bhagne ke liye sharbat e toot siyah piyen aur akhri baat aap jab tak khud fesla nahi karenge k main aaj se cigarette chor raha hun tab tak kuch nahi hoga faisla karke cigarette ko hath mat lagaye isi mein aap ki bhalai aur sehat hai. Meri post ko apne doston ke sath share karen aur apne liye sadqa e jariya banayain.
Comments
Post a Comment