Qabz Phas Jai Tu Kia Hota Hai Qabz Ki Aalamat Qabz Ka Gharelu Ilaj Bhook Na Lagne Ki Wajah Kya Hai Bhook Lagne Ki Homeopathic Medicine

Qabz Kholny Ka Tarika Bhook Lagne Ki Homeopathic Medicine Body Ki Khushki Ka Ilaj In Hindi


daimi qabz ki alamat daimi qabz ka desi ilaj
Qabz Door Karne Ka Gharelu Nuskha Jismani Khushki Ka ilaj


Bachon Ki Qabz ka Desi ilaj in Urdu Constipation Treatment at Home in Urdu


Naheed Amjad ne apna masala bayan karte hue likha hai k meri umar 35 saal hai mera pait har waqt bhara bhara rehta hai khana khane k bad jesy tanau sa ho kar pait phool jata hai. Tabiyat mein aik ajeeb c bechaini payi jati hai. Kai kai roz qaza e hajat nahi ho pati jis ki wajah se bhook bhi na hone k barabar hai bhook kam lagti hai. Baqi tamam jism to theek hai magar pait ghubaray ki tarah phool kar numayan ho gaya hai jis se meri shakhsiyat buri tarah mutasir hui hai. Jab tak kisi hakeem ya doctor se koi jalab awar dawa na lun mujhe rafa e hajat nahi hoti aap baray e meharbani koi ghizai ilaj tajveez karen meri is marz se hamesha k liye jan chot jaye.

Intestine Ka Desi Ilaj Intestine Dryness Treatment

Aap ki antariyon mein khushki ka ghalba hone ki wajah se in ki karkardagi buri tarah se mutasir ho chuki hai. Antariyon (Intestines) k fail mein kharabi peda ho jane, daimi qabz rehne aur fasad madon k antarioyn mein rukne ki wajah se bhi pait bahir ko nikal kar jismani khubsurti k tawazan ko bigar deta hai. Antarion mein rukawat ho jane se tabkheer e meda aur gas paida ho kar pait phola phola sa rehne lagta hai.
Aisy afrad jo apna ilaj khud karte hain ya sune sunaye totkay istemal karke jalab waghera lete rehte hain inko badni masail se pala parta rehta hai kyon ki qabz kusha adwiyat k ziyada istemal se antariyon mein paye jane walay mufeed bacterias bhi bowl o braaz k sath kharij ho jate hain jo daimi qabz k sath sath kai degar bimariyon ka bais ban jate hain. Isi tarah bakery ki products aur cola drinks ka andha dhund istemal karne se bhi na sirf maada kamzor hota hai balky antarion ki karkardagi bhi mutasir hoti hai.

Bhook Badhane Ki Homeopathic Medicine Bhook Na Lagne Ka Gharelu Ilaj


Bara gosht, chawal, gobi, arvi aur bhindi tori bhi antariyon ki kargardagi mein kharabi peda karne ka bais bante hain. Aap sab se pehle mosami phalon, sabziyon, khalis doodh aur makhan ko apni ghiza ka lazmi hisa banaye nashty mein dahi zaror shamil karen lekin yaad rahe raat ko dahi ka istemal acha nahi hota. Sabz patton wali sabziyon ka istemal zyada se zyada kar dain bilkhasos salad k pattay, band gobhi, tamatar, surkh moli, kheera aur payaz ko bataur salad 24 ghanton mein 1 bar zaror istemal karen.

Khushki Door Karne Ka Tarika Home Remedies For Dryness In Body

Home Remedies For Intestinal Dryness

Antarion ki khushki se nijat hasil karne k liye badam roghan k 2 chamach rozana raat ko neem garam doodh mein mila kar peena shuru kar dain. Bataur dawa aap hab tankarki ki 2 goliyan raat sote waqt neem garam pani se kha liya karen. Aik zaruri baat ye k aaj kal chilka ispaghol ka istemal bohat zyada kiya jane laga hai aisy tamam afrad jo ispoagol k chilky k istemal ko apna mamol bana lete hain inhen antarion k amraz ka khatra aur b barh jata hai.

Qabaz Dor Karne Ke Desi Nuskhe In Urdu Qabz Khatam Karne Ka Tarika In Hindi


Chunky chilka jelly numa hone ki wajah se antariyon mein maujood zaroori bacterias ko bhi bowl o braaz k zariye kharij kar deta hai. Yun antariyan jo badan insani k 80% afaal mein muawan sabit hoti hain wo bhi mutasir ho kar hamen kai aik dusre amraz k narghay mein phansa deti hain. Qabz se mukamal nijat pane k liye reshadar ghizayen (High Fiber Foods) ajza ko apni khurak ka hisa banayen reshadar ghizayen kon c hoti hain ye janne k liye aap meri post High Fiber Foods List bhi parhen jis ko parh kar aap ko fiber foods ka pata chal jayega InnshaAllah bafazal e khuda aap jaldi he is marz se nijat pa lenge agar aap ko meri ye post pasand ayi hai to isay apne doston aur khandan ke sath sharen karen takay dusre log bhi is bimari se mehfooz reh saken.

Comments