Baby Care Tips In Hindi Child Care Tips For Parents Chote Bacho Ki Dekhbhal Kaise Kare Babies Care Tips In Urdu

Chote Bachon Ki Care Babies Care Tips In Hindi Premature Baby Care In Urdu

Baby Ka Khayal Rakhna


Newborn Baby Ki Care Kaise Kare In Hindi


Sawal:-


Shabnam Shakeel kehti hain pichle dinon aik bara hadsa hua zara si kotahi say aik bacha jal kar faut ho gaya mujhe ab dar lagta hai mere bhi 2 bachay hain 1 derh saal ka aur dusra 4 saal ka main ki dekhbhal to karti hoon magar tanha shohar k sath rehti hoon is baray mein zaroor bataye kay bachon ko kin  cheezon sey door rakhna chahiye?

Chote Baccho Ki Care Kaise Kare

Jawab:-


Joint family system yani mushtarka khandani nizaam k bohat faide thy ab sara silsila khatam hua pehle ghar k baray buzurg amuman bachon ka dhyan rakhte thy ab to log apne bachon ko car driver aur kabhi awara logon k hathy chor dete hain aur bache bigar jate hain aur isi kashmakash mein bachon ki tarbiyat par gehra asar parta hai. Agar ghar walay bachon ko in logon se bacha bhi lain to phir TV, Cartoons aur Games bachon k sathi hain aur wo unki ghalat tarbiyat kar rahe hote hain. Aisay khilony jin mein chote cells hoon button size walay cell aisy toys na khareedy kyon ki agar bachy wo cell mun mein daal kar nigal lain to bohat masala ho jata hai isi tarah khel mein plastic k shoppers mun par na charhane dain.


Child Care Tips in Urdu

Balloons ki care karen kyon ki agar ghubaray ka tukra phat kar agar bachy k mun mein chala jaye to phir bhi pareshani ho jati hai. Teddy pesy sikky bachon ki pohnch say door rakhen aur gharon mein bijli k switches nechy lagy hote hain in par moti tape laga dain takay bachy andar ungli na daal saken. Medicines hamesha kisi unchi jagah par rakhen takay bachon k hath na ayen sardiyan aa rahi hain chilgozy ka chilka ya mong phali ka chilka halaq mein chala jaye to bara masala ban jata hai khushk meway sambhal kar rakhiye.
Angoor choty bachy ko kabhi na dijiye kyon ki angoor saans ki naali k barabar hota hai aur agar bachy ne pura angoor andar nigal liya to phir saans ki naali band hone ka khatra lahaq ho sakta hai hamesha angoor saaf karke aur kaat kar bachon ko dijiye angoor galay mein phans jaye to dum ghut jane ka khatra hota hai. Bachon k khilony ihtiyat se kharidiye bahir ki countries mein toys k packs par likha hota hai k ye itni umar k bachon k liye hain.


Hamare haan ye ihtiyat nahi ki jati chote bachy baray bachon k khilone k sath khel rahe hote hain jiski wajah say chote bachy ko nuqsan koi bhi nuksan pohnch sakta hai agar aap k ghar mein ludo hai to phir isay apne bachon ki pohanch sey door rakhen kahin babies iski gotiyan aur dana mun mein na daal lain.
Ye choti choti baaton ka dhayan zaror rakhen takay apke kids mehfooz reh sake. Isky ilawa nokdar choonch waly khilony na lain bachy apni aankhon par maar sakte hain aur aankhen to bohat hasaas hoti hain agar koi bhi cheez sakhti sey lag gai to aankh zaya hone ka khadsha bhi ho sakta hai.


Isi tarah churiyan chaqu kaante waghera bhi kitchen aur almari k andar rakhen takay bachy cher na saken khana pakate waqt ihtiyat karen bachy chulhe k qareeb na ayen in choti choti baaton par amal karen sey bohat sari mushkilat say aap bach sakti hain. Garam istri bachon k hath jala sakti hai agar aap istri zameen par rakh kar kapray press karti hain to phir iron ko istemal karne k baad kisi unchi jagah par rakhen takay kisi bachy ka hath na pohnch sake.
Agar aap ko meri ye post pasand ayi hai to isay apne friends k sath share karna mat bhuliye ga aap k share karne say tamam mothers ko kuch sikhne ko milega aur unke bachy bhi hadsat say mehfooz reh sakenge.

Comments