Kamar Ke Dard Ke Liye Tips Back Pain Symptoms Details Reedh Ki Haddi Ka Dard Ka Ilaj Backbone Pain Treatment At Home In Urdu
Kamar Dard Kyu Hota Hai Back Pain Kyon Hota Hai Pregnancy Me Kamar Dard Kare To Kya Karna Chahiye
Kamar Dard Se Chutkara Paane Ke Liye Kya Karna Chahiye |
Kamar Ka Dard Kaise Kam Hota Hai Kamar Dard Ka Desi Ilaj In Urdu
Aaj ki duniya ka insan pehle zamanon k insan ki nisbat lamby arsay tak zinda rehta hai. Lambi umar k logon ki khwahish hoti hai kay wo bari umar mein bhi zindagi ki rahaton say lutf andoz ho saken. Chanachy tibbi mahireen koshishen kar rahe hain kay nayi tarz e zindagi aur lambi umar walay insano ki barhti hui tawaquat ko pura karne ke liye nayi dawain (Medicines) ijaad karen. Is aitbar se sab se aham masla kamar dard hai maghrbi mulkon (Western Countries) ko amuman har aitbar se taraqi yafta tasleem kiya jata hai lekin in mulkon kay log bhi tibbi masail se do chaar rehte hain jin mein kamar dard taqreeban sar e fehrist hai..
Maghrbi tehqeeqi idaron (Western Research Organizations) k mutabiq 60% se 80% maghrib mein rehne walay log zindagi k kisi na kisi marhaly mein kamar dard se do char hote hain. Hairatkhaiz haqeeqat ye hai tamam tar science taraqi aur behtreen tashkheesi technology k bawajood maghribi mahireen tibb bhi kamar dard k asbab thik thak janne mein nakam hain.
Kamar dard ki iqsam ye hain: back pain types and causes
Gardan mein dard, kamar k darmiyan hissay mein dard aur kamar k nichly hisse mein dard kamar dard k doraniye k aitbar se bhi iski iqsam banai gai hain jo ye hain:
Kam shiddat wala kamar dard:
Ye 6 mah se 12 hafton tak barqar reh sakta hai.
Shadeed kamar dard:
Ye 12 hafton tak barqarar reh sakta hai.
Mazman kamar dard:
Ye 12 hafton se zyada arsa tak barqarar reh sakta hai.
Lower Back Pain Home Exercises
Duniya bhar mein bimarion aur inke asbab janne ke liye duniya k sab se wasee tehqeeqi mutala "Global Burden of Disease 2010" k mutabiq kamar dard aisi bimari hai jo duniya mein sabse zyada insanon ko mazoor kar rahi hai. Puri duniya mein 1 arab 70 crore se zyada afrad is bimari mein mubtala hain. Duniya k har 10 insano mein se 8 insaan zindagi mein kabhi na kabhi kamar dard ka shikar zaror hote hain. Mahireen tibb k mutabiq ye bimari aurton ko zyada lahaq hoti hai. Umar zyada hone par kamar dard ka marz lahaq ho jata hai aur 40 se 80 saal tak k mard o khawateen iska shikar bante hain. Ye bimari na sirf umar barhne se lahaq hoti hai balky aisay mard o khawateen bhi iska shikar bante hain jo warzish nahin karte ya bohat kam warzish karte hain.
Backache Treatment At Home In Urdu
Kamar dard phail kar pairon, tangon, hathon aur bazoun tak bhi ja sakta hai. Isky ilawa ye azaa mein jhanjhanahat, jismani kamzori aur uoongh ka sabab bhi ban sakta hai. Maghribi mulkon mein say sirf America k log kamar dard k ilaj par har saal 100 arab dollars say zyada raqam kharch karte hain. America mein kamar dard aisi paanchvi bari bimari hai jiski wajah se Americans Doctors say ilaj karwane par majboor ho jate hain.America mein har saal mulazmaton se chutti karne walon mein se 40 percent log back pain ki wajah se kaam se chuti karte hain. America k har 10 baaligh afraad mein se 5 kamar dard ka shikar hain. Puri duniya mein reerh ki haddi k surgeons aur kamar dard aur dusri mutaliqa bimarion ka ilaj karne walay neurosurgeon ki tadad 7.50 hazar hai. Experts ne pata chalaya hai k puri duniya mein reerh ki haddi se mutaliq 220 se zyada bimariyan insanon ko apna shikar banati hain. Iss say andaza lagaya ja sakta hai k ye kitna bara insani masala hai.
Kamar Dard Kyon Hota Hai?
Kamar Dard Se Kaise Nijat Paye |
Insan ki kamar aur gardan k bohat se ajza kamar dard ka bais ban sakte hain. Kamar k bohat se asaabi reshy tangon tak jate hain. Isky ilawa bohat se chote asaab jism k dusre asaab se jury hote hain. Kamar dard k 2 judwaa pathon k khinchne se shadeed kamar dard lahaq ho sakta hai.
Isky ilawa kamar ki haddiyon (Back Bones), kamar ki haddiyon ko jorne waly reshon aur joron ko nuqsan pohanchne ki wajah se bhi shadeed kamar dard lahaq ho sakta hai. Baharhal kamar dard se ye nahin samjha jana chahiye k tissues ko nuqsan pohncha hai.
Agar kamar dard bohat shadeed ho tab bhi ye nahi samajhna chahiye k tissues ko koi nuqsan pohncha hai. Aksar auqat sozish shadeed kamar dard ka sabab hoti hai aisa dard 2 hafton se 3 mahino tak rehta hai. 30 saal se 60 saal tak ki umar k logon ko reerh ki haddi mein dard hota hai. 60 saal se zyada umar k afrad ko kamar k joron k kamzor par jane k bais kamar dard hota hai. Muzaman kamar dard ki diagnose aur isky treatment k liye aaj tak koi tarika daryafat nahi kiya ja saka.
Kamar Dard Mein Konsi Exercise Karna Chahiye
CT Scan aur MRI k zariye bhi muzaman kamar dard ki moasar tashkhees nahi ho pati. Jadeed tareen Radiologicial alaat istemal karke bhi aksar auqat haddiyon k amraz ka ilaj karne waly doctor ya neurosurgeon mareez ki kamar mein hone walay dard ka asal sabab maloom nahin kar pate. Kamar dard se bachne ke liye har umar k afrad ko exercise zaroor karna chahiye mahireen ne bataya hai k puri duniya mein kamar dard k aksar mareez warzish nahin karte thy ya thori warzish karte thy. Jismani aitbar se chaquchoband hona sirf kamar dard nahin balky taqreeban har bimari se bachata hai. Motapa jahan dusri khatarnak bimariyon ka bais banta hai wahan ye kamar dard ka bhi bais hai baaz auqat kamar dard morosi bhi hota hai isky ilawa joron k dard ki bimari (Joints Pain Disease) aur sartan (Cancer) bhi kamar dard ka sabab ban sakte hain.
Back Pain Ki Wajohat Kamar Dard Ko Kaise Door Kare
Back Pain Relief Tips In Urdu |
Agar aap ki mulazmat aisi hai k aap ka kaam aap ki reedh ki haddi par asar dalta hai to aap kisi bhi waqt kamar dard ka shikar ho sakte hain. Isi tarah kursi par beth kar kaam karne waly afrad bhi agar kursi par kamar sidhi karke nahin baithenge to kamar dard ka shikar ho jayenge. Tambako Noshi Smoking karna bhi kamar dard ki wajah ban sakta hai. Tambaku noshi ka aik nuqsan ye hota hai k aap ki reerh ki haddi ki discs ko ghizai ajza puri tarah nahin mil pate tambaku noshon ko khansi lag jati hai khansi bhi kamar dard ka sabab ban sakti hai. Chunky smoking karne walay afraad mein sehatyabi ka amal sust ho jata hai isliye inka kamar dard door hone mein zyada dair lagti hai. Gurdon mein pathri ki wajah se bhi kamar dard lahaq ho sakta hai. Disc toot jane aur kamar k patthay khinch jane se kamar dard ho sakta hai. Hadsaat bhi kamar dard ka bais hote hain. Joron ka dard bhi kamar dard ka aik sabab hai.
Kamar Dard Me Kaise Sona Chahiye Kamar Dard Ka Gharelu Upchar
Kamar Dard Say Bachao K Tarike Back Pain Safety Tips Spinal Cord Me Dard Kyu Hota Hai
Backbone Pain Causes In Urdu
|
Kamar dard se bachne ke liye zaroori hai k aap ko apni kamar k baray mein bunyadi maloomat hasil hoon. Insan ki kamar k 2 baray hissay hote hain. Pehla hissa reerh ki haddi aur dusra hissa kamar k patthay kamar k patthy reerh ki haddi se jury hote hain. Reerh ki haddi k joron k darmiyan disks hoti hain jo kamar ko jhukne mein madad deti hain ye jhatkay bardasht karne mein bhi madad deti hain. Tanabe Nakhahi Spinal Cord dimagh ko jism se milati hai. Is say nikalne walay asaab bazoun aur tangon tak bhi jate hain.
Kamar Dard Ki Exercise Ka Ilaj Kamar Dard Ki Warzish
Asaab dimagh se hidayat le kar patthon aur azaa tak pohnchate hain. Kamar dard se mehfooz rehne ke liye tarz e zindagi mein tabdeeli zarori hai. Kamar dard se bachne ke liye aap ko apna sone, jagne, khane, peene, aur kaam karne k andaz k ilawa apni adaton mein bhi tabdeeli lana hogi warzish ko adat banana hoga. Sehat k liye nuqsan deh tamam mashroobat chorna honge tambaku noshi smoking yani ciggrate pena chorne honge. Agar aap motapa ka shikar hain bohat zyada motay hain to apko motapa kam karna hoga aur agar motay nahin to phr motapy se bachna hoga.Aap kamar dard se bachna chahte hain to hamesha seedhi kamar k sath kharay hoon jhuky kandhon ya kamar terhi karke kharay hone se kamar dard lazmi lahaq ho jata hai. Isi tarah jab bhi chair, desk ya sofay par bethy kamar seedhi rakhen. Wazni cheezain uthane ki zarorat ho to koshish karen k aap ki kamar par kam boojh pare. Sone ka andaz bhi kamar par asar dalta hai sakht aur hamwar cheez par sona kamar dard se bachata hai. Zehni tanau se mehfooz rehna kamar dard se bachne ke liye zaruri hai. Kamar dard se bachne k liye aisi cheezain khana chahiyen jin mein vitamin D aur calcium ho.
Kamar Dard Ka Ilaj Kamar Dard Kam Karne Ke Gharelu Upay
Kamar Dard Dur Karne Ke Tips |
Aksar auqat kamar dard khud ba khud theek ho jata hai kamar dard chand minton se le kar chand ghanto tak bhi reh sakta hai aur chand dino tak bhi reh sakta hai. Is doran agar mareez dawa na bhi le tab bhi kamar dard khud ba khud theek ho jata hai. University of Maryland America ki Associate Professor of Physical Therapy Doctor kehti hain agar kamar dard kisi choot ki wajah say ho raha ho to mutasira jagah par barf rakhne se dard kam ho sakta hai kyon ki baraf sozish ko kam karti hai. Unhone hidayat ki k 20 minutes baad mutasir jagah se baraf ko hata dena chahiye.
Back Bone Pain Reasons In Urdu Backbone Me Dard Ke Karan
Doctor kehti hain k tanagain phelana bhi kamar dard se bachata hai inka kehna tha kay kamar dard mein mubtala baaz logon ko Yoga ki mashaqain karne se bhi faida hua. Kamar dard mein mubtala afrad k lyie British National Health Service ne tajweez kiya hai k wo dard se nijat ke liye paracetamol ya ibuprofen le sakte hain is idaray ne ye bhi tajweez di hai kay kamar dard se nijat k liye mutasira jagah ki takoor ki jaye ya baraf rakhi jaye.
NHS hi ki hidayat hai k kamar dard apni zehni halat lazmi barqarar rakhen. Isi tarah jin logon ko kamar dard lahaq nahi hua wo bhi apna zehn tanau se mehfooz rakhen. Reerh ki haddi ka operation sirf us waqt kiya jata hai jab har tarah ki adwiyat istemal karne k bawajood kamar dard theek na ho pa raha ho. Larkiyan unchi eri waly joty high heels shoes pehna bhi chor dain takay aap kamar dard se mehfooz reh saken. Agar aap ko meri ye post pasand ayi hai to isay apne doston aur khandan ke sath sharen karen takay dusre log bhi kamar k dard se mehfooz reh saken.
Comments
Post a Comment