Gurdon Ka Masala Kidney Ka Dard Kidney Treatment In Urdu
Kidney Diseases Causes and Solutions Gurday Ki Bimariyan aur Unka ilaj |
Gurde Ki Bimari Kya Hoti Hai Kidney Ki Bimari Se Bachne Ke Upay
Mareez Ka Sawal:-
Asif Khan puchte hain kay meri umar 50 saal say zayed hai main ne gurdon ka test karwaya hai jis mein blood, urea aur creatinine ki miqdarain barhi hui hain. Mujhe blood pressure aur Diabetes kay amraz bhi lahaq hain main chahta hun kay qudarti tarike say he mera uria aur creatinine bhi durust ho jayen aur blood pressure aur ziyabetus bhi control mein rahen. Hakeem sahib kya gharelu tarakeeb, ghizaon aur totkon ki madad say aisa mumkin hai? meri alopathy dawain bhi choot jayen aur in bimarion kay bure asrat say bhi mehfooz rahon.
Hakeem Sahib Ka Jawab:-
Sab say pehle to aap ye baat zehan nasheen kar lain kay ziabetus aur blood pressure ko aap ghizai parhaiz say qabu rakh sakte hain lekin insay mukamal tor par chutkara pana zara mushkil hai. Iski wajah ye hai kay hamari khurak ghair matwazan ho chuki hai kay badan ko matloba ghizai ajza ki rasad mumkin he nahi rahi faraz karen aap duniya ki har cheez har keemat par kharidne ki taqat rakhte hain lekin bazar mein majood ashiya jin mein dukandar ya dusre anasar milawat karte hain in say kese bacha jaye?
Misaal k taur par doodh he le lain aajkal doodh garha karne ki gharz say is mein singhare ka aata, alarood powder, ganay ka phook aur na jane kya gand bala dala ja raha hai. Ab koi bhi fard shehar mein bazat e khud bhains paal kar khalis doodh peene ka mutahmil nahin ho sakta. Sirf aik doodh k khalis na hone say is qadar bimarian phel rahi hain kay inka ahata karna mushkil hai. Lehaza mere bhai jahan tak ho sake ihtiyat barten aur miyari, matwazan aur milawat say paak ghizayen khane ka ahtmam karen.
Khatir khaw had tak aap tandrust rahenge. Blood pressure, uriya aur creatinine say bachao ke liye moli ko rozana apni khurak mein shamil karen. Kachi moli bhi khayen aur moli ko patton samait paka kar bhi khaya ja sakta hai. Yaad rahe moli kha kar zara sa gur zaror kha liya karen takay moli ba asani hazam ho sake. Aik ghalat fehmi ka azala zarori hai kay moli ki taseer ko aam taur par log thandi khayal karte hain halankay moli ki taseer garam aur khushk hai.
Agarcha moli dusri ghizaon ko bohat jald hazam karne mein madadgar sabit hoti hai lekin khud dair say hazam ho pati hai. Bataur e ilaj sonf ki chutki 1 cup pani mein paka kar din mein 3 bar pee liya karen. Saag, palak, tamatar, chawal, gosht, bengan, dalein, matar, lobia, chanay, khurdni namak aur makai khane se perhaiz karen. Jahan mumkin ho sake subah o shaam nihar mun taiz qadmon ki sair lazmi karen. Multi vitamins, mineral water aur degar dhaati o madaniyati muraqabat ka istemal bhi tark kar dain. Innsha'Allah 1 ya 2 mahine mein aapka blood pressure, uria aur creatinine drust level par aa jayenge. Jab aap ghizai parhaiz karenge to ziabetus aur blood pressure bhi control mein rahenge. Agar meri ye post aap ko achi lagi hai to isay apne friends aur family k sath bhi share karen takay dusre log bhi aap ki wajah se gurdon ki bimariyon se mehfooz reh saken.
Comments
Post a Comment