Banjhpan Kaise Dur Hota Hai Aulad Ke Liye Koi Nuskha
Bacha Paida Karne Ka Tarika In Urdu Mardana Banjhpan ka Desi ilaj |
Male Infertility Treatment In Pakistan
Aulad Ki Naimat Se Mehroom Hoon
Bahawalpur se Asad Akram puchte hain k meri shaadi ko 5 saal hone ko aye hain lekin abhi tak aulaad ki naimat se mehroom hoon. Main ne bohat si adwiyat istemal ki hain magar koi afaqa nahi hua. Mualij hazrat kehte hain k mere jaraseem kam hain is silsily mein meri rehnumai farmayen takay mein aulad k hasool mein kamyab ho sakun.
Mardana Banjhpan Ka Desi ilaj In Urdu
Doctors jo bhi kehte hain wo hatul imkan durust he hota hai lehaza aap apna qeemti waqt zaya kiye baghair kisi baanjhpan k mahir mualij yani Fertility Specialist se mil kar mashwara karen. Apni ghiza aur parhez ki munasibat se istemal karen. Sune sunaye fazool totkon aur khud mualjati tarz e amal se mukamal taur par bachen. Gharelu tibbi tarkeeb k tor par aap heera hang ko desi ghee mein bhoon kar rakh lain.
Rozana 1 se 2 miligram hang bhuni hui bargad k 2 chamach doodh mein mix karke subah nihar mun istemal karen. Baadi o muraghan ghizayen, taiz masala jaat, cola, mashrubat, baingan, bara gosht, fried chicken, tikka boti, daal masoor aur tursh karwi cheezon se parhez kare. Warzish ko apni zindagi ka mamol bana lain agar ALLAH TAALA ko manzoor ho ga to aap ki goad mein bachon ki kalkarain gonjne lagen gi.
Comments
Post a Comment