Charbi Kam Karne Ke Tips In Hindi Wazan Ghatane Ke Tarike Pait Chota Karne Ke Totke Motapa Ka Desi Ilaj In Urdu

Anjeer Se Motapay Ka Ilaj Zeera Aur Motapa Wazan Kam Karne Ke Desi Totkay


Motapa Kam Karna In Urdu Tips Pait Kaise Kam Kiya Jaye?

Weight Kam Karne Ki Tips In Urdu Nimbu Se Motapa Kaise Ghataye?


Mareezon Kay Sawalat:-

Ali Ahmad kehte hain meri umar 20 saal hai hamare khandan mein sab motay tazay hain. Baqol walid sahib k khata peeta gharana lagta hai. Mujhe college mein sab cherty hain main khud motapay se tang hun kesy dubla ho jaon? kya karun??

Rehana Ambreen jinki umar 22 saal hai kehti hain jab dieting karti hoon to 2 se 4 pound wazan kam ho jata hai aur dieting chorty he 8 se 10 pound wazan 1 mah mein barh jata hai. Iski kya wajah hai?


Begam Rehman kehti hain din mein bhook par qabu pa leti hun magar raat ko jab aankh khulti hai mera bura haal hota hai. Fridge mein se kuch na kuch nikal kar kha leti hun zyada nahi thora thora khati hun phir subah nashta bhi nahin karti magar weight barhta ja raha hai saray kapray tang ho gaye hain.


Hakeem Sahib Kay Jawabat:-

Koi jaadui goli aisi nahin jiske khane se wazan kam ho jaye aap sab ko parhez karna chahiye market mein tarah tarah ki dawaiyan dastiyab hain, ishtiharat hain, slimming centers hain, dieting par zor diya jata hai. Motapa ab sehat nahin balky bimari ki nishani hai. Balance diet ki talash rehti hai. Zehni dabao aur pareshani mein mubtala log bhi mote ho jate hain. Aap khana zarur khaiye magar bakery products, cheeni, chawal aur chiknai waghera se perhaiz karen. Anjeer jism ki charbi ko ghatati hai qabz ko door karti hai. Zachgi k baad aam taur par khawateen moti hoti hain. Wo agar subah shaam injeer k chand dany khayen to pait ki charbi pighal jati hai. Pudina ki chai bhi wazan kam karti hai. Green tea mein pudine k pattay daal kar chaye bana kar piyen chai mein lemon aur honey bhi mila sakte hain.



Beetroot for Weight Loss in Urdu 


Mosam e sarma mein laal shalgham yani chukandar ki salad rozana khayen 3 shaljam ko achi tarah dho kar tukre kar lain. Thora sa kala zeera alehda pees kar rakh lain. Pansari se noshawara theekri wala le kar alehda pees kar rakhiye. 2 chutki zeera noshawara shaljam k tukron par daal kar khaiye. Pait ki charbi tahleel ho jayegi.

Benefits Of Safed Zeera Safed Zeera K Fawaid

5 gram safed zeera achi tarah saaf karke 1 cup pani mein ubaliye phir usay chaan kar adhy lemu ka ras mila kar peene se bhi wazan kam hone lagta hai. 2 baray surkh tamatar subah nashty mein khaiye innshaAllah motapa kam ho jayega.

Begam Rehman sahiba aap fridge mein aisi cheezain nikaliye jo aap k liye nuqsan deh hain. Aik cake ka tukra, pizza ka tukra, sandwich raat ko khayengi to aap ka wazan kam nahi hoga. Nashta zaror karen. Virginia Commonwealth University ki Doctor ka kehna hai jo khawateen subah achi tarah breakfast karti hain wo apna wazan jaldi kam kar leti hain aur phir wo dobara nahin barhta lehaza nashta zaror kariye.

Lemon For Weight Loss In Hindi Shahad Se Motapa Kaise Kam Kare


Sab se asan gharelu totka garam pani k 1 cup mein nimbu nichor kar shehad mila kar subah nihar mun peene se ahista ahista charbi kam ho jati hai aur nuqsan bhi nahi hota dawa se perhaiz bohat behtar hai. Motapa sey mutaliq mazeed gharelu nuskhe hakeemi tips hasil karne ke liye aap hamare facebook page Motapay Ka ilaj ko bhi like kar sakte hain aur motapa kam karne ke liye hamare facebook group Motape Ka ilaj ko bhi join lazmi karen aur agar aap ko meri ye post pasand ayi hai to isay apne doston aur family members k sath bhi share karen.

Comments