Pait Kam Karne K Totkay Wazan Kam Karny K Liye Khaty Ka Istimal
Weight Loss Tips in Hindi for Girl at Home |
Tips to Lose Weight Healthy Reduce Weight By Eating Fruits And Vegetables
Duniya bhar mein motapay ka shikar afraad ki tadad aye roz barhti ja rahi hai. Khawateen o hazraat iske ilaj ke liye mukhtalif hospitals, khail ke medanon aur jim ke chakkar katty dikhai dete hain magar motapa hai kay khatam nahi hota. Ye alag baat hai kay aap khurak mein mamoli tabdeeliyon ke zariye se motapay se nijat pa sakte hain. Khurak mein shamil baaz ajza jism mein charbi ko jala kar ziyada tawanai peda karte hain is say motapa khud bhag jata hai. Amumi taur par ye samjha jata hai kay motapay se bachna hai to khurak kam kar do is tarah kam khane se wazan barhna khud ba khud ruk jayega ye soch ghalat hai ye har shakhs par sahi sabit nahi hoti. Albatta kuch khas qism ke phal aur sabziyan khane se nizaam e hazma behtar kaam karne lagta hai. Ye phal charbi aur cheeni ki miqdar ko jala kar motapa khatam kar dete hain ghizai mahireen is silsily mein 9 phalon aur sabziyon ko intehai aham qarar dete hain.
Motapay se nijat pane ke liye European world mein isay intehai ahmiyat hasil hai cheeni ahista ahista jism mein shamil hoti hai to ye phal is mein kaam ata hai ye fruit ahista ahista cheeni ki tawanai mein kami kar deta hai. Cheeni ki miqdar mein kami hone se jism charbi ko tawani ke hasool ke liye istemal karta hai jis sey motapa khud ba khud kam ho jata hai.
Nariyal ka tail darasal nizam e hazma ko behtar banane ka qudrati zariya hai. Is mein shamil khas qisam ke charbi khane ke foran baad hazam ho jati hai. Tawanai ka akhraj digestive system ko behtar banata hai jis se charbi jama hone ki bajaye tawanai mein tabdeel ho jati hai. Pehle se jama shuda charbi bhi pighlna shuru ho jati hai.
Pineapple ananas mein aik khas qisam ka chemical bromelain paya jata hai. Ye chemical pait mein maujood degar enzymes ke sath milkar charbi ko hazam karne mein kirdar ada karta hai.
Tehqeeq se ye bhi sabit hua hai kay ananas bhook mitata hai jis se charbi mein kami waqiya ho jati hai.
Jadeed tehqeeq mein jahan badamon ke bohat say faiday ginwaye gaye hain wahan American Heart Association ne apne jareedy mein kaha hai kay rozana 22 gram badamon ke istemal karne se cholesterol ko qabu pane mein madad milti hai. Badam cholesterol paida karne waly LDL nami protein ki miqdar ko bhi kam karta hai. Is say pait ki charbi aur kamar ke size mein bhi kami ati hai.
Duniya bhar mein motapay ka shikar afraad ki tadad aye roz barhti ja rahi hai. Khawateen o hazraat iske ilaj ke liye mukhtalif hospitals, khail ke medanon aur jim ke chakkar katty dikhai dete hain magar motapa hai kay khatam nahi hota. Ye alag baat hai kay aap khurak mein mamoli tabdeeliyon ke zariye se motapay se nijat pa sakte hain. Khurak mein shamil baaz ajza jism mein charbi ko jala kar ziyada tawanai peda karte hain is say motapa khud bhag jata hai. Amumi taur par ye samjha jata hai kay motapay se bachna hai to khurak kam kar do is tarah kam khane se wazan barhna khud ba khud ruk jayega ye soch ghalat hai ye har shakhs par sahi sabit nahi hoti. Albatta kuch khas qism ke phal aur sabziyan khane se nizaam e hazma behtar kaam karne lagta hai. Ye phal charbi aur cheeni ki miqdar ko jala kar motapa khatam kar dete hain ghizai mahireen is silsily mein 9 phalon aur sabziyon ko intehai aham qarar dete hain.
Charbi Ghatane Ke Gharelu Upay Weight Loss Ke Liye Kya Khana Chahiye?
Best Weight Loss Foods
Pait Kam Karne Ke Liye Kya Khana Chahiye |
Nashpati: (Pear)
Motapay se nijat pane ke liye European world mein isay intehai ahmiyat hasil hai cheeni ahista ahista jism mein shamil hoti hai to ye phal is mein kaam ata hai ye fruit ahista ahista cheeni ki tawanai mein kami kar deta hai. Cheeni ki miqdar mein kami hone se jism charbi ko tawani ke hasool ke liye istemal karta hai jis sey motapa khud ba khud kam ho jata hai.
Adrak: (Ginger)
Zard rang ki ye sabzi amumi taur par jismani sozish ke ilaj mein istemal hoti hai. Magar adrak aik khas kisam ki charbi curcumin ko pighlane mein aham kirdar ada karta hai. Food experts ke mutabiq is kisam ki protein khane walay afrad motapay ka shikar hote hain kyon ki motapay ka bais banne wali charbi ke ajza ko ye khud he jala kar khatam kar deta hai is say wazan aur charbi donon mein kami hoti hai.Nariyal Ka Tail: (Coconut Oil)
Basa auqat charbi say zarkhez khurak bhi wazan mein kami ka bais banti hai. Nariyal ka tail bhi inhi mein se aik hai. Jis ke be tahasha tibbi fawaid hain. Hum cheeni sey paak qudrati charbi ka istemal karte hain aur behtar carbohydrates lete hain. Protein ki miqdar munasib ho to phir hum apni khurak ko achi khurak keh sakte hain. Is se mithas ki miqdar aur charbi munasib miqdar jism mein rehti hai aisi surat mein jism ko pehle se jama shuda charbi ko jala kar tawanai hasil karne ka mauqa milta rehta hai aur aap bhook ka shikar bhi nahi hote.Nariyal ka tail darasal nizam e hazma ko behtar banane ka qudrati zariya hai. Is mein shamil khas qisam ke charbi khane ke foran baad hazam ho jati hai. Tawanai ka akhraj digestive system ko behtar banata hai jis se charbi jama hone ki bajaye tawanai mein tabdeel ho jati hai. Pehle se jama shuda charbi bhi pighlna shuru ho jati hai.
Strawberry:
Strawberry mein jo charbi ko pighlane walay kai iqsam ke anti oxidants paye jate hain. Isay aksar pani ke sath store kiya jata hai takay ye zyada arsa taza reh saken. Blueberries bhi aik achi khurak hai aur ye charbi ko kam karne ka bais banti hai. Is say aap ke pait ka size chota hai.Pineapple: (Ananas)
Pineapple ananas mein aik khas qisam ka chemical bromelain paya jata hai. Ye chemical pait mein maujood degar enzymes ke sath milkar charbi ko hazam karne mein kirdar ada karta hai.
Tehqeeq se ye bhi sabit hua hai kay ananas bhook mitata hai jis se charbi mein kami waqiya ho jati hai.
Anday: (Eggs)
Anday mein protein aur kam charbi waly ajza paye jate hain jis se jism mein pehle se majood charbi ke istemal mein madad milti hai. Anday mein majood amino acids charbi ko jalane aur pathon ko mazboot banane mein aham kirdar ada karte hain. Amino Acids ki aik khas qisam liveseen bhi motapa kam karne mein mufeed hai.Badam (Almonds)
Jadeed tehqeeq mein jahan badamon ke bohat say faiday ginwaye gaye hain wahan American Heart Association ne apne jareedy mein kaha hai kay rozana 22 gram badamon ke istemal karne se cholesterol ko qabu pane mein madad milti hai. Badam cholesterol paida karne waly LDL nami protein ki miqdar ko bhi kam karta hai. Is say pait ki charbi aur kamar ke size mein bhi kami ati hai.
Comments
Post a Comment