Balo Ka Dandruff Balon Ki Dekhbhal Kaise Karen Balo Ki Samasya Ka Samadhan In Hindi Hair Dandruff Remove Tips In Urdu
Dandruff Natural Treatment Sir Ki Khushki Khatam Karna
Khushki Aur Sikri Ka Ilaj Sikri Khatam Karne Ka Tarika
Sehrish Kabeer ne likha hai kay meri umar 22 saal hai aur mere sir mein bohat zyada dandruff hai baalon ki jaron mein sikri ki teh jami hui hai. Jab kanghi karti hoon to chilkon ki shakal mein ukharti hai to sath baalon kay guchay bhi utarte hain. Kai kisam kay totkay aur dawayen azma chuki hoon lekin baal is qadar gir gaye hain kay ganjapan numayan hone laga hai. Meri khurak intehai sada si hai iske bawajood mujhe din ba din motapa bhi lahaq ho raha hai. Please aap koi aisa ilaj bataye kay motapay aur ganajaypan say bayak waqt nijat hasil ho jaye.
Balo Ka Dandruff Kaise Nikale Hair Fall And Dandruff Solution In Urdu
Balo Ka Dandruff Kaise Hataye Balo Se
Dandruff Kaise Dur Kare
Aik sehatmand jism ko nashonuma ke liye taqreeban 117 say ziyada ghizai ajza ki zaroorat hoti hai. In zarori ajza mein vitamins, protein, nashasta, oxygen, faulad, calcium, potassium, magnesium, fasforas, zinc, sulphur, iodine, chlorine, hemoglobin ka waghera shamil hain. Aap ki batai gai alamat ki ru say to yehi lagta hai kay aap ghizai kami ka shikar hain. Hemoglobin ki makhsoos miqdar mein kami payi jati hai jo aap motapay ka shikar bhi ho rahi hain. Aap apni ghiza mein protein, iron, calcium, phosphorus, zinc aur vitamins say bharpoor ghizain jesy doodh, desi ghee, phal, sabziyan, daalein, gosht, anda, machli aur dahi waghera lazmi shamil karen.
Balo Ka
Dandruff Hatane Ke Gharelu Upay In Hindi
Baalon ki khushki ke liye tara mera ke tail say balon ko jaron tak tar karke 10 sey 15 minute minute matwatar halka sa massage karwayen. Dhyan rahe massage sirf ungliyon ke poron se kiya jaye. 3 ghante tail laga rehne k baad kisi achi company k kapray dhone walay sabun say sir ko dho lain. Haftay mein 1 aadh bar sir mein desi ghee say malish bhi karen.Iskay ilawa zyada soch o bichar, tafakrat aur hasad, bukhl aur ghuroor jesy jazbat ko bhi zehan mein na ane dain. Baaz auqat nojawan larkiyon mein hormones ki kami ya ziadti ki wajah say bhi is tarah kay masail runuma ho jaya karte hain. Agar aisa khadsha ho to kisi mahir khatoon lady doctor se mashwara karke dawa aur ghiza ka istemal karen. Baal girne aur mota hone ki tension bhi na lain. Warna marz ki alamaat mein ki bajaye (ALLAH na kare) izafa he hoga.
Comments
Post a Comment