Dieting Karne Ka Sahi Tarika Dieting Tips To Lose Weight Fast In Urdu Dieting Kaise Kare In Hindi Dieting Karne Ka Tarika In Urdu

diet plan in urdu for weight loss wazan ghatane ke tarike
Pait Kam Karnai Kai Liyai Diet Chart

Dieting Karne Ke Liye Kya Khana Chahiye? Dieting Karne K Liye Kya Khaye?


Sultana kehti hain mera wazan barhta ja raha hai jis ki wajah se mere rishtay mein bhi rukawat hai main khud apne aap se bezar hoon din bad din phelti ja rahi hoon motapa kam nahi hota pait mota hota ja raha hai charbi kesy kam hogi? weight loss karne k totkay bata den mujhe na kapray achay lagte hain aur motapa ki wajah se mera chehra bhi mota aur bhada ho gaya hai. Mujhe har waqt gussa aata rehta hai aur jab gussa ata hai to main khane par toot parti hoon please batayen patla hone ke liye kya karna chahiye jis se mera motapa khatam ho jaye?


Motapa Kam Karne Ke Liye Kya Cheez Nahi Khana Chahiye


Aap khud par control kar sakti hain larkiyan dubli patli hone ke liye jatan karti hain aur phir waqai wazan kam bhi kar leti hain magar wazan dobara phir barh jata hai khane k liye hamesha aap choti plate lain bari plate ko hath lagana chor dain aur khud par qabu payen. Kheera wazan kam karne ke liye behtar hai aap heran hongi 100 gram kheere mein sirf 10 calories hoti hain lekin sabzi ki dukan se kheere dhayan se tazay haray rang k aur chote khareedain.
Inka chilka mat utaren kyon ki kheere ki chilke mein aisy maday majood hain jo jism mein majood charbi ko jalane mein madad deta hai. Aap subah k waqt lemu pani mein shehad mila kar piyen aur uske adhe ghante baad halka sa nashta kar lain dopahar ka khana chor dain. Salad banaye band gobi kaat kar halka sa nimbu chirak kar kheere kaat kar khayen.
Jab bhi ghusa aye band gobi ki salad par utar lijiye. Cheeni, chiknai aur chawal se chand mah parhez karen. Subah shaam walk karen aur bas ahista ahista aap dekhengi aap ka barhta hua pait kam hona shuru ho jayega aur apka wazan bhi kam ho jayega. Agar aap ko meri ye post pasand ayi hai to isay apne doston aur khandan ke sath sharen karen takay dusre log bhi is bimari se mehfooz reh saken.

Comments