Ghutno Ka Dard Ka Ilaj In Urdu Ghutne Ke Dard Ke Upay In Hindi Elbow Pain Treatment At Home

Elbow Arthritis Pain Relief Ghutno Ka Dard Ka Desi Ilaj In Hindi


joron ka dard or un ka elaj ghutno ka dard ka desi ilaj in hindi
Knee Pain Treatment At Home In Urdu


Ghutne Ke Dard Ka Ilaj In Urdu

Ghutno Ka Dard Ghutne Me Dard Ka Upay Utube In Hindi Ghutno Ke Dard Ki Wajah Dr Naveed


Aik to sardiyan aur upar se ghutno ka dard ye shikayat aap ne aksar logon ko karte hue dekha hoga. Dard ki mukhtalif iqsam ki tarah sardiyon mein ghutno ki takleef mein izafa bhi aam c baat hai. Aisay mareezon par ghiza apne makhsoos andaz mein asar karti hai sath sath tarz e zindagi bhi mani rakhta hai. Agar aap ko abhi aksar apne ghutno mein dard rehta hai to ghutno k dard se nijat k liye darj zail tarikon par amal lazmi karen.

Ghutna Dard Ka Gharelu Upay Ghutno Ka Dard Ka Desi Ilaj In Urdu Ghutno Mai Dard Kyo Hota?

Warzish Exercise Ghutno Ka Dard Thik Karne Ke Liye Exercise


Apne din ka aghaz aur ikhtitam halki phulki warzish se karen. Aisi warzish jo aap ke ghutno par asar andaz na ho. Warzish se qabl jism ko warm up zaror karen. Iske baad pure jism ko thori thori warzish se harkat dain aur ghutno k liye zameen par seedhy beth kar tango ko seedha akra lain aur jis had tak mumkin ho bari bari dono paon ko andar ki taraf is tarah moren k ghutne zameen k sath he lage rahen.

Ghutno Ki Position:- Position of Elbow Joints


Wo log jo daftaron mein kaam karte hain inhen chahiye k kabhi bhi mustaqil aik jagah kharay ya bethay na rahen balky har kuch dair baad chalte phirte rahen taky ghutno ko harkat milti rahe. Khawateen ko chahiye k farsh par jharu aur poncha lagane k doran kabhi dayen aur kabhi bayen hath ka istemal karen. Ghutno ki takleef k bais beth kar poncha lagane ki bajaye mope ka istemal mufeed hai.

Zehni Dabao Say Bachen Avoid Mind Stress


Tension, zehni dabao aur asabi dabao k shikar afrad ki aantain zyada miqdar mein calcium jazb nahi kar pati aisay log jitni bhi calcium wali ghizain istemal karen uska sirf 10-15 percent hisa jism jazb kar pata hai. Iska inhisar apki umar, sehat aur tarz e zindagi k saath saath zehni kefiyat par bhi hota hai.

Mamnua Ghizayen Not To Eat


Aisi ghizayen k istemal se perhaiz karen jinhen khane se calcium zaya ho jati hai. In mein caffeine, tea, chocolate, soda water, bazari mashrobat, safed cheeni yani white sugar jesi ashiya ka ziyada istemal haddiyon ko nuqsan pohnchane k sath sath ghutno ki takleef ka bais bhi banta hai.

Calcium par Mabni Ghiza Calcium Rich Foods


Aisi ghiza ka istemal karen jis mein calcium wafir miqdar mein majood ho jesy maghziyat, giri walay meway aur tail waly beej jesy til, soya ki masnuat, sabit anaaj, sabziyan machli, doodh aur degar dairy products waghera.

Ghutno k Dard Se Chutkara Pane Kay Liye Desi Gharelo Totkay:-


Ghutno ki takleef k bais in totkon mein se koi bhi aik totka aap apni sahulat k mutabiq istemal kar sakte hain. Ajwain ka tail, zaitoon ka tail aur kalonji ka tail hum wazan mila kar
isay halka sa garam karke is mein amba haldi aik chamach mila lain aur sheeshay ki botal mein rakh lain. Isay rozana ghutno par jahan dard ho wahan laga kar sikayi karen aur khayal rakhen tail zaroorat se zyada garam na ho balky neem garam tail ka istemal karen.

Joron aur Ghutne Kay Dard K Liye Totka Number 2:-


Asgandh nagori, chaap cheeni, singharo aur sir anjan sheeren 50,50 gram le kar sab ko mila k bareek powder bana kar rakh lain 1, 1 chamach subah sham doodh k sath lain. Isay agar aap ghar mein tayar na kar saken to kisi pansari ki dukan se ba asani tayar karwaya ja sakta hai. Isay 2 mah tak lazmi istemal karen. Agar aap ko meri ye post pasand ayi hai to isay apne doston aur khandan ke sath Facebook, WhatsApp aur Twitter par share karen takay dusre log bhi kamar k dard se mehfooz reh saken.

Comments