Kheere
Ke Fawaid In Urdu Kheere Ka Achar Recipe
|
Balam Khira Ka Achar Banane Ki Vidhi Kheeray ka Achar Kesy Dalte Hain?
Kheery ka achar kaise banaye aap is baray mein bataye kya isay tail mein bhi dala ja sakta hai?
Raziya puchti hain kheera wazan barhata hai kya ye baat sahi hai?
Sarwat umer 25 saal puchti hain kheere ki kya khasosiyat aur fawaid hain?
Kheery ka achar baray mazay ka hota hai isay tail mein nahi dalte balky chote sakht kheery garmi k mosam mein talash karte hain. Kacha khayen to zaiqa mein karwa lagta hai.
Kheere Ka Achar Banane Ki Tarkeeb:-
Kheeray ka achar banane ke liye sab se pehle chote kheere safed sirka mein dale jate hain is mein kuch sabziyan bhi shamil kar dete hain. Namak daal kar rakhte hain 4 hafton mein kheere ka achar tayar ho jata hai.
Sarwat kheera wazan bhi barhata hai aap isay bataur salad 4 ya 5 kheere kaat kar khaiye kheere se dil ki dharkan bhi qabu mein rehti hai aur kheera khane se peshab khul kar ata hai is se bhi sehat par numayan asar parta hai. Jigar ki garmi ko door karne ke liye kheera mufeed hai. Kheera khane se jigar ki garmi bhi door ho jati hai. Meri post ko apne doston ke sath share karen aur apne liye sadqa e jariya banayain.
Comments
Post a Comment