Likoria Ka Gharelu ilaj in Urdu Ratubat Ka ilaj Khooni Pechis Me Kya Khaye Likoria Ka ilaj Gharelu Totkay Chehre Ki Chaiyan Khatam Karne Ka Tarika


green banana benefits for skin likoria ka ilaj home remedies
Likoria Ka Ilaj Gharelu Totkay Pechis Ka Gharelu Upchar Chaiyan Door Karne Ka Tarika


Leukorrhea Ka Desi Ilaj In Urdu Likoria Ki Bimari Me Kya Khana Chahiye?


Rehana Ambreen aur Noreen Fatima umar 18 se 21 saal ko shikayat hai k ratubat k akhraj se kamar dard jism ka nidhal hona aur tabiyat mein bezari chirchira pan bezari college mein bhi kisi khel mein hissa nahi le sakti iske liye kya karna chahiye? Asima Bano likhti hain bachay ki paidaish k baad mere chehre par bohat sari chaiyan ban gayi hain. Jo bohat buri lagti hain iske liye koi desi totka bataye? Jahangeer Ashraf umar 30 saal purani paichish ka arza hai dawaiyan khatay rehte hain magar jab pechash mein khoon aane lagta hai to nidhaal ho jate hain aisay mein kya karna chahiye?
Ratubat k ikhraj k liye kela bohat acha hai aap log lady doctor se mashwara karke apne liye dawa tajweez karwaiye aur 2 kelay rozana apni ghiza mein shamil karen. Kacha kela bhi aap k liye mufeed hai kacha kela bhi aap k liye mufeed hai kachay kelay bazar mein mil jate hain. 1 ya 2 kelay k chips bana kar khaiye ya 1 chota chamcha cooking oil fry pan mein daal kar kelay k gol qatly kaat kar halka sa fry karke pani ka cheenta de kar dhakna dhank dijiye aur jab gal jayen to utar kar namak kali mirch chikar kar khaiye.


Chehre Ki Chayon K Totkay Chehre Ki Chaiyan Khatam Karne Ke Liye Nuskhe


Nojawan bachiyan amuman likoria ka shikar hoti hain wo 1 ya 2 hafty tak kachay kelay kha kar dekhen aur 2 kelon ka milkshake bana kar piyen ya wesy he pakkay kelay 2 adad kha lain to inka murjhaya hua chehra sahi taro taza ho jayega. Ratubaton k akhraj se jo kamzori hai wo bhi door hogi iske sath sath TV, Computer or Mobile Phone raat ko ziyada dair tak istemal na karen. Asima aap chehre ki chaiyan door karne k liye adha kela achi tarah mash kariye adha tablespoon kharboozay k chily hue beej pees kar is mein mila kar chehre par lagaye 20 minutes baad saaf karke mun dho lijiye.
Iske istemal se rang saaf ho jayega chehra chamak jayega aur chaiyan ahista ahista ghaib ho jayengi. Jahangir Ashraf sahib aap bhi kelay se faida uthaye khooni pechis ho to 1 cup meethay dahi mein kela achi tarah mesh karke milaye chamcha chamcha bhar kar khiaye takleef mein kami hogi is tarah agar ispaghol ki bhosi kelay par laga kar khai jaye to ishaal mein faida hota hai. Pechash k liye kachay kelay ki phali par log misri pees kar laga kar khate hain dawa zaror istemal karen.

Comments