Neend Na Aane Ke Totkay Neend Aane Ka Tarika In Urdu Mujhe Neend Kyun Nahi Aa Rahi Hai Insomnia Treatment Medication
Neend Nahi Aati Neend Aane Ke Gharelu Nuskhe
Raat Ko Neend Na Aaye To Kya Kiya Jaye |
Neend Na Aaye To Kya Kare Gharelu Upay
Aik urgent letter Kausar sahiba umar 50 saal ka aya hai puri puri raat jagti hain khashkhash doodh mein mila kar peeti hain neend ki goli se bhi farq nahi parta please aap meri madad karen.
Kausar sahiba!
Aap apna local address ya phone number likh deti to foran rabta ho jata neend k maslay ko hal karne k liye aap khubani ki giri ka tail bhi kanpattiyon par malish kiya jata hai dusri baat ye k main ne hamdard matab ki somna bohat logon ko istemal karwai hai jis mein in ki neend ka masala hal ho gaya hai.
Aap bhi hamdard ki somna khareedy har jagah asani se mil jati hai. Is mein bhi maghziyat hain jo dimagh ko sakoon dete hain. Aap koi dawa to nahin khati jiski wajah se ye masala hua hai raat ko sote waqt somna doodh mein mila kar peena shuru kar dain bawuzu laitain jo bhi qurani ayat yaad hoon parh lain aap ka masala hal ho jayega.
Neend na aane ki aik sab se bari wajah ganay sunna bhi hai kyon ki jab aap songs sunte hain to aap ka dimagh chalta rehta hai aur phir aap ko neend nahi aati wesy bhi songs sunna Islam mein Haraam aur mana hai kyon ki ye shaitani amal hai aap ganay sunoge to neend nahi ayegi lekin jab aap Quran e Pak ki tilawat apne mobile mein sune ge raat k waqt to aap ko ek sakoon mehsoos hoga aur aap ko neend bhi pur sakoon ayegi.
Hadees e Rasool ﷺ k mutabiq raat ko sote waqt ek bar Surah Al Mulk parh leni chahiye agar aap khud Surat nahi parh sakte to phir apne mobile laga kar sun to sakte hain ye surah sune aur phir sakoon ki neend so jayen.
Meri post ko apne doston ke sath share karen aur apne liye sadqa e jariya banayain.
Comments
Post a Comment