Seene Me Gilti Ka Ilaj Sine Par Bharipan Hona Seene Ki Gilti Ka ilaj Chest Bhari Lagna Chest Me Bharipan Ka Karan Chest Me Bharipan in Hindi

feeling something heavy on chest while sleeping
Feeling Something Heavy On Chest

Chest Ka Bhari Hona Chest Mein Bharipan Feeling Something Heavy On Chest While Sleeping


Maimoona Raza umar 30 saal kehti hain chand roz se mujhe aisay lagta hai k meri sidhi taraf seeena k upar koi cheez hai jo mujhe bari ajeeb lagti hai. Is say pehle bhi mujhe khawab aisy he nazar aaty thy k mere upar k hissa mein garbar hai aur doctor check kar rahe hain. Kya ye sab kuch nafsiyati taur par mehsoos kar rahi hoon ya mera weham o khayal hai. Main bohat pareshan hoon apni doctor k pass gai to is ne achi tarah check kiya seene mein koi ubhar ya gilti nahi mujhe bataye main kya karoon?

Feel Something Moving in My Breast Feeling Of Something Pressing On Chest

Kai saal pehle ki aik report aaj bhi mere zehan mein mehfooz hai aik khatoon marry domisyana thin. 30 bars ki umar mein inko bhi aap ki tarah mehsoos hua k inki dayi taraf chaati mein koi problem hai. Unhone yakybadegry 3 specialist se mashwara kiya memogram ki report sahi thi kuch nahi tha phir isay kisi aur doctor ne dekh kar mamoli se ubhar ki taraf matwaja kiya wo khatoon nojawan sehatmand thi seena ki baftain mazboot thin isliye ubhar zahir nahi hua baad mein ilaj hua aur wo khatoon sehatmand ho gai.
Psychosomatic medicine ki tehqeeq se zahir hua k hamara jism har baat ko qabool karta hai dard ho takleef ho ehsaas dilata hai aur phir kisi na kisi surat pegham deta hai k jaldi se ilaj karo. Apne jism k pegham ko fazool na janiye balky tawaja dijiye taky fori taur par afaqa ho apna treatment karwayen. Rahi baat khawabon ki to din bhar aap sochti rehti hain ye iski wajah se bhi nazar aa sakta hai.
Baharhaal khawabon ki ahmiyat se inkar nahi kiya ja sakta inki apni haqeeqat aur sachai hoti hai. Aap kisi specialist lady doctor ko dikhayen innshaAllah Taala aap theek rahengi aur apka weham door ho jayega. Neeche share ke button ko press karen aur facebook, twitter, google plus, WhatsApp, viber, imo, pinterest, tumblr, kisi bhi social network par ye post apne friends ke sath share karen.

Comments