Chirchirapan Dur Karne Ke Upay Chirchirapan Ka ilaj Ghabrahat Bechaini Ka Gharelu Upchar

Bechaini Ka Gharelu Upay Ghabrahat Bechaini Ka ilaj Bataye


ghabrahat kyu hoti hai in hindi insaan ko ghabrahat kyu hoti hai
Dil Ki Ghabrahat Dur Karne Ka Tarika Bechaini Kaise Dur Kare

Be Sakooni Ka ilaj Bechaini Ka ilaj in Urdu


Saif Ali Sahiwal se likhte hain meri umar 28 saal hai mere sir mein har waqt halka halka sa dard rehta hai. Thori si dair koi dimaghi kaam kar lu to aankhon k samne andhera cha jata hai. Zehan mein baray ajeeb o ghareeb se khayalat bhi aate rehte hain. Weham aur khof se bhi chaye rehte hain. Tabiyat mein chirachirapain aur bechaini si rehti hai susti bhi chayi rehti hai kaam karne ko bhi dil nahi karta. Khudara mere in masail ka koi payedar hal tajveez karen takay main bhi zindagi ki sir garmiyon ko behtar tor tarike se sir anjaam de sakon.


Ghabrahat Door Karne Ka Desi ilaj


Aap ko zaf e dimagh ka marz lahaq hai aap late kar parhne aur qareeb se TV ya Computer Screen ki taraf dekhna fil waqt tark kar dain. Isi tarah doran e khana, khane k foran baad bhi koi dimaghi kaam na karen to behtar hai. Alal Subah lambi sair ko mamol ka hisa banaye. Halki phulki warzish bhi har roz kiya karen aur neeche di gayi tibbi tarkeeb aur desi nuskhe herbal totke ka istemal aap k liye mufeed sabit hoga.


Ghabrahat Hone Ke Gharelu Nuskhe


Paramal barhami booti 1 gram, maghaz badam 7 adad, falafel siyah 3 adad raat ko pani mein bhigo kar subah nihar mun batareeq sardai ghot kar taza makhan 10 gram shamil karke istemal karen. Maghizyat jesy badam, pista, akhrot, chilgoza, mongphali waghera bhi dimagh ki taqwiyat aur hifazat mein bunyadi ahmiyat k hamil hain. Phal, phalon ka ras, doodh, makhan aur desi ghee waghera bakasrat istemal karen.
Chai, coffee, qehwa, bara gosht, baingan, daal masoor, cola, mashrubaat, fast foods, mithaiyan, chiknaiyan, chatkharay dar ghizain, taiz masala jaat, sakoon awar adwiyat, qabeeh jazbat, makrooh ehsasat aur fazool tafkraat se bach kar aap mukamal taur par dimaghi kamzori se hamesha k liye mehfooz ho sakte hain.

Comments