Coronavirus Se Kya Hota Hai Coronavirus Se Bachne Ke Liye Kya Karna Chahiye?
Coronavirus Information in Urdu COVID-19 Infection Disease |
Coronavirus Kaise Fail Raha Hai Coronavirus Ki Medicine
Coronavirus aik khatarnak virus hai jo flu aur Respiratory system yani nizam tanafus ki mukhtalif bimarion ka bais banta hai. Coronavirus kayi iqsam par mushtamil virus ka aik khandan hai jo kay aam nazla k ilawa SARS aur middle east Respiratory syndrome jesi sangeen bimariyon ka bais banta hai. Majuda halaat mein daryafat hone wali coronavirus ki ye kisam insano mein pehli bar payi gayi hai. Coronavirus se mutasira afrad mein bukhar, sir ka dard, nazla, khansi, aur thakan jesi alamaat samne aa sakti hain. Iskay sath sath saans lene mein dushwari, namunia (pneumonia) aur phephron ki nakari jesi pecheda alamat bhi samne aa sakti hain jo k jaanlewa sabit ho sakti hain aisi kisi bhi alamaat ki surat mein doctor se fori rabta aur mashwara zaruri hai kyon ki abi tak coronavirus ki koi medicine dawa ya vaccine nahin bana ja saki.
CoronaVirus Say Bachne Ka Tarika COVID-19 Safety Tips
Coronavirus se bachao k liye ihtiyati tadabeer lazmi apnaye.Baqaydagi se bar bar hath dona.
Khansty waqt aur cheenkty waqt mun dhakna.
Apne hathon ko bar bar dhoyen 20 seconds tak aur har 30 minute bad.
Apni aankhon, naak aur mun ko bilawajah touch mat karen aur na he ragarain.
Ghar se bahir nikalte waqt mun par mask aur hathon par gloves lazmi pehne.
Government of Pakistan k order par apne gharon mein band rahen ghar zaruri ghar se bahir mat niklen.
Hand Sanitizers aur disinfectants ka istemal kare.
Coronavirus k marezon se door rehna shamil hai.
Agar aap ko apne andar aisi koi bhi alamat nazar ati hai to ghabrayen mat balke khud ki screening karwaye aur kisi ache doctor ko checkup karwaye.
Iske sath sath gosht, anday aur hewani ghizaon ko khoob achi tarah paka kar he istemal karna zaruri hai. Yaad rakhen aik sehat mand mudafiyati nizam is virus se bachao mein aap ka aham tareen hathyar hai achi ghiza aur sehat bakhsh tarz e zindagi ki madad aap apni quwwat e mudafiyat ko barha sakte hain. Vitamin C ka istemal bhi quwat e mudafiat mein izafa karta hai. Ye khayal rakhna bhi aham hai k wo kon se muharikat hain jinki wajah se aap ka immune system kamzor parh sakta hai. Coronavirus China se aya hai aur ye chamgadar (Bat) aur Suwar (Pig) khane ki wajah se phela hai. Coronavirus kab khatam hoga aur coronavirus kab tak rahega ye abhi tak kisi ko maloom nahin is bimari par qabu pana har mulk ke liye is waqt challange bana hua hai.
Cigarette noshi, zehni dabao, aur naqis ghiza ka istemal quwwat e mudafiyat mein kami ka bais ban sakta hai. Cigarette chorne k liye aap hamara article Cigarette Chorne Ka Tarika bhi lazmi read karen.
Comments
Post a Comment