Khushk Aloo Bukhara Ke Fayde Khushk Aloo Bukhara For Hair Growth Dry Plum Ke Fawaid In Urdu

Balo Ki Growth Badhane Ke Liye Kya Kare Balo Ki Dekhbhal Kaise Kare In Hindi


Khushk Aloo Bukhara Ke Fayde

Dried Plum for Hair Growth Baalon Ki Nashonuma Mein Bhi Faidamand


Mosam e garma mein kai phal bazaron mein milte hain jin mein se aksar logon ko behad pasand hote hain aur aisa he aik phal aloo bukhara bhi hai magar aloo bukhara na sirf garma mein balky baqi mausamon mein bhi khushk halat mein dastiyab hota hai aur iska miyana ravi se istemal sehat k liye intahai faida mand sabit hota hai.
Khushk aloo bukhara vitamin K, potassium, iron, beta carotene samait kai ajza se bharpor hota hai.
Jabkay is mein majood fiber bhi sehat ke liye nehayat faide mand hai. Har mosam mein dastiyab is soghat k faide jan kar aap bhi isay istemal karne par majbur ho jayenge.

Khoon Ki Kami Door Karne K Liye Khushk Aloo Bukhara Istemal Karen


Jism mein khoon ki kami ka masala us waqt paida hota hai jab isay khoon k surkh khuliyat red blood cells ki kami ka samna ho jise banane mein iron madad deta hai. Khushk aloo bukharay ko juice ki shakal mein istemal karna jism ko iron faraham karta hai. Is tarah khoon ki kami jesy masail se ba asani bacha ja sakta hai iske juice ka adha cup jism ko 3 milligram iron provide karta hai.

Dried Plum Benefits for Eye Sight Benayi Behtar Kare Nazar Ki Kamzori Door Kare Aankhon Ki Khushki Ka ilaj


Khushk aloo bukhara vitamin A k hasool ka bhi behtareen zariya hain. Ye vitamin sehatmand benayi k liye zaruri hai. Rozana 1 aloo bukharay ka istemal jism k liye zarori vitamin ki 3 fisad miqdar jism ko muhaiya karta hai. Vitamin A ki kami se aankhon ki khushki k, pathon ki ? aur motiya jesy amraz ka khatra barh jata hai. Khushk aloo bukharay ka istemal aap ko is kisam k masail se bacha sakta hai.


Antioxidants say Bharpor


American health experts ki research k mutabiq khushk aloo bukharon ko antioxidants k hawale se no.1 qarar diya gaya hai. Jis mein manganese, iron, fitolakes antioxidants k tor par kaam karke khuliyat ko muzar mawad se hone waly nuqsan se bachate hain.

Khushk Aloo Bukhara Dil K Liye Faida Mand Hai


Khushk aloo bukharay potassium se bharpur hote hain aur ye juz dil k munasib afaal ko yaqeeni banane k liye zaruri hai.
Potassium k istemal se blood pressure ko mamol par rakhne mein madad milti hai jab k amraz e qalb, heart attack, falij (Paralysis), aur ghashi jesy masail ka khatra kam hota hai. Tahum iske liye phal ka balance mein istemal karna zaruri hai kyon ki isay zyada khana nuqsan deh bhi sabit ho sakta hai.

Use Dried Plum for Making Your Bones Strong Hadiyan Mazboot Banane K Liye Khushk Aloo Bukhara Khayen


Khushk aloo bukhara haddiyon k bharbhary pan k marz ko reverse karne mein mumkina taur par madadgar sabit ho sakte hain. Isky waramkash khasusiyat isay joron k amraz k shikar afrad k liye bhi faida mand banati hain. Sehatmand afrad is kha kar haddiyon ko 20 percent mazboot bana sakte hain.



Dried Plum for Hair Growth Baalon Ki Nashonuma Mein Bhi Faida Mand


Iron ki kami balon k girne, khushk hone aur qabal az waqt safed ka bais banti hai. Chunky khushk aloo bukharay iron se bharpur hote hain lehaza ye baalon ki sehat ko behtar karte hain. Is mein majood vitamin B, C aur dusre vitamins baalon ki growth k liye behtareen hain jo baalon ki jaron ko mazboot bana kar totny ka khatra kam karte hain.

Skin Care by Eating Dried Plum Jild Ki Sehat Ki Sehat Behtar Kare

Is phal mein majood vitamins aur minerals umar barhne se peda hone waly jild k masail ki rok tham karke jhuriyon ko namudar hone se rokte hain.

Comments