Dil Ka Bypass Operation Dil Ki Bimari Ka ilaj In Urdu Amraz E Qalb Ki Alamat Dil Ki Bimari Ke Lakshan in Hindi

Dil Ki Bimariyan Aur Ilaj Nabvi ﷺ Heart Disease Treatment In Homeopathy


dil ki bimari ke parhej dil ki bimari ke gharelu upay in hindi
Amraz E Qalb In Urdu Dil Ki Bimari Ka Ilaj In Hindi
Heart Patient Ke Liye Kya Karna Chahiye High Blood Pressure Ka Gharelu Upchar Kya Hai

Heart Problems Treatment In Urdu Heart Patient Ka Ilaj Heart Diseases Natural Remedy


Arshad Afzaal Gujranwala say puchte hain kay hakeem sahib kya desi tibb mein dil ki bimariyon ka koi ilaj hai main ne kai saal pehle apne dil ka bypass operation karwaya tha. Ab tak rozana goliyan kha kha kar main zehni mareez ho gaya hun in dawaon ka side effect ho kar mujhe shadeed Bawaseer (Piles), High blood pressure aur Ziabetus (Diabetes) ke amraaz bhi lahaq ho gaye hain. Barah e karam meri rehnumai karte hue mujhe koi aisi ghiza ya dawa tajveez karen dain main in bimarion say jan chura sakon.




How To Prevent Heart Disease And High Blood Pressure



Naturopathy jisay aap taur par desi tibb kaha jata hai mein har bimari ka ilaj majood hai basharat ye kay bimari ki tashkhees barwaqt ho jaye. Hakeem e Azam Hazrat Muhammad Sallallahu alaihi wasallam ke irshad e garami hai " Har marz ke liye dawa hai " ki ru say hamara imaan hai kay har marz qabil e ilaj hai. Bus marz ki tashkhees aur tajveez durust honi chahiye qudarti dawa ho chahe ghiza ho iski asar rezi ki raftar sust hoti hai.
Fi zamana waqt ki tez raftari ne hamen sirf apnon se door kar diya hai balkay apne aap se bhi begana kar diya hai aur na he waqt par apni khabar le pate hain. Yun kisi bhi bimari ka pata hamain tab chalta hai jab pani sir se guzar chuka hota hai phir hamen apni saans barqar rakhne ke liye dastiyab har waseela azmana parta hai. Aap dil aur High Blood Pressure ki adwiyat apne mualij ki hidayat kay mutabiq istemal karte rahen dil ka bypass operation baad badan ko sehatmand rakhne ke liye medicine ka istemal zarori hota hai.




Heart Weakness Treatment In Hindi Heart Care Tips In Urdu


Bawasir aur ziyabetas rozamara ghiza aur khoordonosh ke mamol mein radd o badal peda karne se he aap ka peecha chor dengi. Muraghan, nafakh, aur tali hui ghizaon ko fori chor dain. Surkh mirch, fast food, ghair zarori chiknaiyan, mithaiyan, gosht, chawal, aur qabz karne wali khurak say parhez karen. Batoor e ilaj araq kasn aur arq gaozaban adha adha cup nihar mun subah o shaam aur khane ke baad hab e maqal ki 2 goliyan din mein 2 bar istemal kiya karen. Kachi sabziyan, phal, phalon ka ras, salad kay pattay aur reshay dar ghizaon ka bakasrat istemal karen. Kala zeera half teaspoon wala dahi mein daal kar nashta kiya karen. Dopehar mein ubli hui sabziyon aur phalon ki salad ya fruit chaat khaya karen. Bohat jald aap ko jismani masail say chutkara hasil ho jayega.

Comments